hai aap ke honTon pe jo muskan waghaira
hai aap ke hoñToñ pe jo muskān vaġhaira
qurbān ga.e us pe dil o jaan vaġhaira
billī to yūñhī muft meñ badnām huī hai
thaile meñ to kuchh aur thā sāmān vaġhaira
be-hirs-o-ġharaz qarz adā kījiye apnā
jis tarah police kartī hai chālān vaġhaira
ab hosh nahīñ koī ki bādām kahāñ hai
ab apnī hathelī pe haiñ dandān vaġhaira
kis naaz se vo nazm ko kah dete haiñ nasrī
jab us ke ḳhatā hote haiñ auzān vaġhaira
jamhūriyat ik tarz-e-hukūmat hai ki jis meñ
ghoḌoñ kī tarah bikte haiñ insān vaġhaira
har shirt kī bushirt banā Daalī hai 'anvar'
yuuñ chaak kiyā ham ne garebān vaġhaira
hai aap ke honTon pe jo muskan waghaira
qurban gae us pe dil o jaan waghaira
billi to yunhi muft mein badnam hui hai
thaile mein to kuchh aur tha saman waghaira
be-hirs-o-gharaz qarz ada kijiye apna
jis tarah police karti hai chaalan waghaira
ab hosh nahin koi ki baadam kahan hai
ab apni hatheli pe hain dandan waghaira
kis naz se wo nazm ko kah dete hain nasri
jab us ke KHata hote hain auzan waghaira
jamhuriyat ek tarz-e-hukumat hai ki jis mein
ghoDon ki tarah bikte hain insan waghaira
har shirt ki bushirt bana Dali hai 'anwar'
yun chaak kiya hum ne gareban waghaira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.