aaj ek harf ko phir DhunDta phirta hai KHayal
aaj ik harf ko phir DhūñDtā phirtā hai ḳhayāl
madh bharā harf koī zahr bharā harf koī
dil-nashīñ harf koī qahr bharā harf koī
harf-e-ulfat koī dildār-e-nazar ho jaise
jis se miltī hai nazar bosa-e-lab kī sūrat
itnā raushan ki sar-e-mauja-e-zar ho jaise
sohbat-e-yār meñ āġhāz-e-tarab kī sūrat
harf-e-nafrat koī shamshīr-e-ġhazab ho jaise
tā-abad shahr-e-sitam jis se tabah ho jaa.eñ
itnā tārīk ki shamshān kī shab ho jaise
lab pe lā.ūñ to mire hoñT siyah ho jaa.eñ
aaj har sur se har ik raag kā naatā TuuTā
DhūñDtī phirtī hai mutrib ko phir us kī āvāz
joshish-e-dard se majnūñ ke garebāñ kī tarah
chāk-dar-chāk huā aaj har ik parda-e-sāz
aaj har mauj-e-havā se hai savālī ḳhilqat
lā koī naġhma koī saut tirī umr darāz
nauha-e-ġham hī sahī shor-e-shahādat hī sahī
sūr-e-mahshar hī sahī bāñg-e-qayāmat hī sahī
aaj ek harf ko phir DhunDta phirta hai KHayal
madh bhara harf koi zahr bhara harf koi
dil-nashin harf koi qahr bhara harf koi
harf-e-ulfat koi dildar-e-nazar ho jaise
jis se milti hai nazar bosa-e-lab ki surat
itna raushan ki sar-e-mauja-e-zar ho jaise
sohbat-e-yar mein aaghaz-e-tarab ki surat
harf-e-nafrat koi shamshir-e-ghazab ho jaise
ta-abad shahr-e-sitam jis se tabah ho jaen
itna tarik ki shamshan ki shab ho jaise
lab pe laun to mere honT siyah ho jaen
aaj har sur se har ek rag ka nata TuTa
DhunDti phirti hai mutrib ko phir us ki aawaz
joshish-e-dard se majnun ke gareban ki tarah
chaak-dar-chaak hua aaj har ek parda-e-saz
aaj har mauj-e-hawa se hai sawali KHilqat
la koi naghma koi saut teri umr daraaz
nauha-e-gham hi sahi shor-e-shahadat hi sahi
sur-e-mahshar hi sahi bang-e-qayamat hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.