aaj ki raat
dekhnā jazb-e-mohabbat kā asar aaj kī raat
mere shāne pe hai us shoḳh kā sar aaj kī raat
aur kyā chāhiye ab ai dil-e-majrūh tujhe
us ne dekhā to ba-andāz-e-digar aaj kī raat
phuul kyā ḳhaar bhī haiñ aaj gulistāñ-ba-kanār
sañg-reze haiñ nigāhoñ meñ guhar aaj kī raat
mahv-e-gulgasht hai ye kaun mire dosh-ba-dosh
kahkashāñ ban ga.ī har rāhguzar aaj kī raat
phuuT niklā dar-o-dīvār se sailāb-e-nashāt
allāh allāh mirā kaif-e-nazar aaj kī raat
shabnamistān-e-tajallī kā fusūñ kyā kahiye
chāñd ne pheñk diyā raḳht-e-safar aaj kī raat
nuur hī nuur hai kis samt uThā.ūñ āñhkeñ
husn hī husn hai tā-hadd-e-nazar aaj kī raat
qasr-e-gītī meñ umañD aayā hai tūfān-e-hayāt
maut larzāñ hai pas-e-parda-e-dar aaj kī raat
allāh allāh vo peshāni-e-sīmīñ kā jamāl
rah ga.ī jam ke sitāroñ kī nazar aaj kī raat
āriz-e-garm pe vo rañg-e-shafaq kī lahreñ
vo mirī shoḳh-nigāhī kā asar aaj kī raat
nargis-e-nāz meñ vo niiñd kā halkā sā ḳhumār
vo mire naġhma-e-shīrīñ kā asar aaj kī raat
naġhma o mai kā ye tūfān-e-tarab kyā kahiye
ghar mirā ban gayā 'ḳhayyām' kā ghar aaj kī raat
merī har saañs pe vo un kī tavajjoh kyā ḳhuub
merī har baat pe vo jumbish-e-sar aaj kī raat
vo tabassum hī tabassum kā jamāl-e-paiham
vo mohabbat hī mohabbat kī nazar aaj kī raat
uf vo vāraftagi-e-shauq meñ ik vahm-e-latīf
kapkapā.e hue hoñToñ pe nazar aaj kī raat
maz.hab-e-ishq meñ jaa.ez hai yaqīnan jaa.ez
chuum luuñ maiñ lab-e-la.alīñ bhī agar aaj kī raat
apnī rif.at pe jo nāzāñ haiñ to nāzāñ hī raheñ
kah do anjum se ki dekheñ na idhar aaj kī raat
un ke altāf kā itnā hī fusūñ kaafī hai
kam hai pahle se bahut dard-e-jigar aaj kī raat
dekhna jazb-e-mohabbat ka asar aaj ki raat
mere shane pe hai us shoKH ka sar aaj ki raat
aur kya chahiye ab ai dil-e-majruh tujhe
us ne dekha to ba-andaz-e-digar aaj ki raat
phul kya KHar bhi hain aaj gulistan-ba-kanar
sang-reze hain nigahon mein guhar aaj ki raat
mahw-e-gulgasht hai ye kaun mere dosh-ba-dosh
kahkashan ban gai har rahguzar aaj ki raat
phuT nikla dar-o-diwar se sailab-e-nashat
allah allah mera kaif-e-nazar aaj ki raat
shabnamistan-e-tajalli ka fusun kya kahiye
chand ne phenk diya raKHt-e-safar aaj ki raat
nur hi nur hai kis samt uThaun aanhken
husn hi husn hai ta-hadd-e-nazar aaj ki raat
qasr-e-giti mein umanD aaya hai tufan-e-hayat
maut larzan hai pas-e-parda-e-dar aaj ki raat
allah allah wo peshani-e-simin ka jamal
rah gai jam ke sitaron ki nazar aaj ki raat
aariz-e-garm pe wo rang-e-shafaq ki lahren
wo meri shoKH-nigahi ka asar aaj ki raat
nargis-e-naz mein wo nind ka halka sa KHumar
wo mere naghma-e-shirin ka asar aaj ki raat
naghma o mai ka ye tufan-e-tarab kya kahiye
ghar mera ban gaya 'KHayyam' ka ghar aaj ki raat
meri har sans pe wo un ki tawajjoh kya KHub
meri har baat pe wo jumbish-e-sar aaj ki raat
wo tabassum hi tabassum ka jamal-e-paiham
wo mohabbat hi mohabbat ki nazar aaj ki raat
uf wo waraftagi-e-shauq mein ek wahm-e-latif
kapkapae hue honTon pe nazar aaj ki raat
mazhab-e-ishq mein jaez hai yaqinan jaez
chum lun main lab-e-lalin bhi agar aaj ki raat
apni rifat pe jo nazan hain to nazan hi rahen
kah do anjum se ki dekhen na idhar aaj ki raat
un ke altaf ka itna hi fusun kafi hai
kam hai pahle se bahut dard-e-jigar aaj ki raat
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 97)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.