aazadi ka haq
ye sach hai ab āzād haiñ ham
miTTī se sugandh ye aatī hai
ai jaan se pyāre ham-vatano
abhī kaam bahut kuchh baaqī hai
āzādī pahlī manzil thī
thā hausla sab ne saath diyā
kāñToñ se bhare in rastoñ ko
zaḳhmī pairoñ se paar kiyā
aage dekhā mahbūb-e-nazar
baiThā vo hamārā saaqī hai
ai jaan se pyāre ham-vatano
abhī kaam bahut kuchh baaqī hai
ye desh banā qurbānī se
jāneñ qurbān huiiñ kitnī
āñkhoñ meñ mulk kā naqsha thā
parvāh unheñ kab thī apnī
taḳhtoñ pe khaḌe ho kar jab bhī
phūlī dekhā har chhātī hai
ai jaan se pyāre ham-vatano
abhī kaam bahut kuchh baaqī hai
jab Dhol nagāḌe bajte the
ham jūjhte the band kamroñ meñ
mansūboñ par mansūbe the
gaañv ke vo hoñ yā shahroñ ke
ham thake nahīñ baḌhte hī chale
ki aage hamārā sāthī hai
ai jaan se pyāre ham-vatano
abhī kaam bahut kuchh baaqī hai
ye desh banā ik gul-dasta
badnām na hone deñge ise
maz.hab ke naam pe bāñTne kā
jo kaam kare bas roko use
gar shurūa huī ḳhāna-jañgī
phir kaahe kī āzādī hai
ai jaan se pyāre ham-vatano
abhī kaam bahut kuchh baaqī hai
hai mulk baḌā to masle haiñ
hal hone haiñ hal hoñge bhī
dil hārnā shobhā detā nahīñ
aa.e chāhe sau mushkil bhī
bas khoT nahīñ ho niyyat meñ
ye huā to phir barbādī hai
ai jaan se pyāre ham-vatanoñ
abhī kaam bahut kuchh baaqī hai
bas ek guzārish hai tum se
jab qadam uTheñ har qaum ho saath
bhūleñ maz.hab aur jaatī ko
ho dil meñ desh hāthoñ meñ haath
tab pata chale is duniyā ko
yahāñ ab bhī nehru gāñdhī hai
ai jaan se pyāre ham-vatanoñ
abhī kaam bahut kuchh baaqī hai
ye sach hai ab aazad hain hum
miTTi se sugandh ye aati hai
ai jaan se pyare ham-watano
abhi kaam bahut kuchh baqi hai
aazadi pahli manzil thi
tha hausla sab ne sath diya
kanTon se bhare in raston ko
zaKHmi pairon se par kiya
aage dekha mahbub-e-nazar
baiTha wo hamara saqi hai
ai jaan se pyare ham-watano
abhi kaam bahut kuchh baqi hai
ye desh bana qurbani se
jaanen qurban huin kitni
aankhon mein mulk ka naqsha tha
parwah unhen kab thi apni
taKHton pe khaDe ho kar jab bhi
phuli dekha har chhati hai
ai jaan se pyare ham-watano
abhi kaam bahut kuchh baqi hai
jab Dhol nagaDe bajte the
hum jujhte the band kamron mein
mansubon par mansube the
ganw ke wo hon ya shahron ke
hum thake nahin baDhte hi chale
ki aage hamara sathi hai
ai jaan se pyare ham-watano
abhi kaam bahut kuchh baqi hai
ye desh bana ek gul-dasta
badnam na hone denge ise
mazhab ke nam pe banTne ka
jo kaam kare bas roko use
gar shurua hui KHana-jangi
phir kahe ki aazadi hai
ai jaan se pyare ham-watano
abhi kaam bahut kuchh baqi hai
hai mulk baDa to masle hain
hal hone hain hal honge bhi
dil haarna shobha deta nahin
aae chahe sau mushkil bhi
bas khoT nahin ho niyyat mein
ye hua to phir barbaadi hai
ai jaan se pyare ham-watanon
abhi kaam bahut kuchh baqi hai
bas ek guzarish hai tum se
jab qadam uThen har qaum ho sath
bhulen mazhab aur jati ko
ho dil mein desh hathon mein hath
tab pata chale is duniya ko
yahan ab bhi nehru gandhi hai
ai jaan se pyare ham-watanon
abhi kaam bahut kuchh baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.