ajaib-KHana
mirā vajūd
dekhte hī dekhte
ek ajā.ib-ḳhāne meñ Dhal rahā hai
ki mere lā-shu.ūr ne
āsār-e-qadīma kī nādir ināyatoñ ko
chhupā ke mujh se
mujh hī meñ jam.a kar diyā hai
yahāñ kahīñ kisī rack meñ
mire hunūt-shuda harf aur lamhe
paḌe hue haiñ
jinheñ na-jāne kaun sā masāla lagā diyā gayā hai
ki mire jism kī harārat se bhī vo
gal nahīñ rahe haiñ
in almāriyoñ se
mirī TuuTī huī chūḌiyoñ ke saaz kī
āvāz aa rahī hai
ye dekho shelf meñ
merī bachpan kī guḌiyā kā
TuuTā huā jism so rahā hai
kahīñ merī siñghār-mez kā ā.īna
be-rañg ho kar chaTaḳh gayā hai
magar ab bhī
mere azāb-lamhoñ kā
aks de rahā hai
kahīñ kisī surme-dānī meñ
shāyad kabhī maiñ ne apnī aañkh chhoḌ dī thī
jo us meñ se mujhe ghūrtī hai
aur merī zindagī
mere zañg-ālūd zevaroñ meñ
dab ke chīḳhtī hai
aur pāyaloñ kī āvāz se Dar rahī hai
ek TuuTī huī kañghī se
mire baal uljhe hue haiñ
aur kināre pe rakkhī huī
surāhī se pyaas kī bū
ris rahī hai
kisī ghaḌiyāl kī TuuTī huī suuī
ik azāb-lamhe meñ murta.ish hai
aur qarīb hī
mere jazboñ ke tālāb se
baas uTh rahī hai
aur tamāsh-bīn,
jauq-dar-jauq mere ajā.ib-ḳhāne ko
dekhne ko aa rahe haiñ
in meñ se koī tamāsh-bīn
is ajā.ib-ḳhāne kī
saañs letī huī maut ko
taz.hīk se dekh kar
nazar-andāz kartā huā jā rahā hai
aur koī ajā.ibāt kā shauqīn
in tamām ashyā pe tahqīq kar ke
apna-āp sābit karnā chāhtā hai
magar un ko dhuul meñ paḌī huī
tārīḳh kī uljhī huī Dor kā
koī sirā nahīñ mil rahā hai
aur meñ kināre pe khaḌī huī
apne usī ek sire ke milne kī muntazir huuñ
ki mirā vajūd dekhte hī dekhte
ek ajā.ib-ḳhāne meñ Dhal chukā hai
mera wajud
dekhte hi dekhte
ek ajaib-KHane mein Dhal raha hai
ki mere la-shuur ne
aasar-e-qadima ki nadir inayaton ko
chhupa ke mujh se
mujh hi mein jama kar diya hai
yahan kahin kisi rack mein
mere hunut-shuda harf aur lamhe
paDe hue hain
jinhen na-jaane kaun sa masala laga diya gaya hai
ki mere jism ki hararat se bhi wo
gal nahin rahe hain
in almariyon se
meri TuTi hui chuDiyon ke saz ki
aawaz aa rahi hai
ye dekho shelf mein
meri bachpan ki guDiya ka
TuTa hua jism so raha hai
kahin meri singhaar-mez ka aaina
be-rang ho kar chaTaKH gaya hai
magar ab bhi
mere azab-lamhon ka
aks de raha hai
kahin kisi surme-dani mein
shayad kabhi main ne apni aankh chhoD di thi
jo us mein se mujhe ghurti hai
aur meri zindagi
mere zang-alud zewaron mein
dab ke chiKHti hai
aur payalon ki aawaz se Dar rahi hai
ek TuTi hui kanghi se
mere baal uljhe hue hain
aur kinare pe rakkhi hui
surahi se pyas ki bu
ris rahi hai
kisi ghaDiyal ki TuTi hui sui
ek azab-lamhe mein murtaish hai
aur qarib hi
mere jazbon ke talab se
bas uTh rahi hai
aur tamash-bin,
jauq-dar-jauq mere ajaib-KHane ko
dekhne ko aa rahe hain
in mein se koi tamash-bin
is ajaib-KHane ki
sans leti hui maut ko
tazhik se dekh kar
nazar-andaz karta hua ja raha hai
aur koi ajaibaat ka shauqin
in tamam ashya pe tahqiq kar ke
apna-ap sabit karna chahta hai
magar un ko dhul mein paDi hui
tariKH ki uljhi hui Dor ka
koi sira nahin mil raha hai
aur mein kinare pe khaDi hui
apne usi ek sire ke milne ki muntazir hun
ki mera wajud dekhte hi dekhte
ek ajaib-KHane mein Dhal chuka hai
- Book : Vaqt ki qiad se (Pg. 21)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.