Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek bachcha chhoTa sa bachcha

Hamza Daim

ek bachcha chhoTa sa bachcha

Hamza Daim

MORE BYHamza Daim

    ik bachcha chhoTā bachcha

    ek haath meñ us ke taḳhtī thī

    ek haath meñ us ke basta thā

    aur paañv ke nīche duur talak

    schōl ko jaatā rasta thā

    vo afsar banñā chāhtā thā

    vo sach-much paḌhnā chāhtā thā

    kuchh ḳhvāb the us āñkhoñ meñ

    jo rafta rafta TuuT ga.e

    ġhurbat ne use majbūr kiyā

    yuuñ paḌhne se vo duur huā

    phir paañv se raste ruuTh ga.e

    aur haath se baste chhūT ga.e

    ek bachcha chhoTa sa bachcha

    ek hath mein us ke taKHti thi

    ek hath mein us ke basta tha

    aur panw ke niche dur talak

    school ko jata rasta tha

    wo afsar banna chahta tha

    wo sach-much paDhna chahta tha

    kuchh KHwab the us ki aankhon mein

    jo rafta rafta TuT gae

    ghurbat ne use majbur kiya

    yun paDhne se wo dur hua

    phir panw se raste ruTh gae

    aur hath se baste chhuT gae

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now