chaqu
hamārī tanhā.ī se
ek lālTain banā.ī jā rahī hai
jise tūfānī bārish meñ
hañgāmī taur par istima.al kiyā jā.egā
yā sone kī kaan meñ kaam karne vāloñ ko
muft farāham kiyā jā.egā
hamārī tanhā.ī se
ek bagghī banā.ī jā rahī hai
jise tafrīhī maqāmāt par rakhā jā.egā
yā express train ke
paTrī se utar jaane ke ba.ad
ḳharāb mausam meñ
ravāna kyā jā.egā
hamārī tanhā.ī se
ek pul banāyā jā rahā hai
jise jañg ke daurān yā ba.ad meñ
Tankoñ ke guzar jaane ke liye
istima.al kiyā jā.egā
yā achānak
dhamāke se uḌā diyā jā.egā
hamārī tanhā.ī se
ek chāqū banāyā jā rahā hai
jise kāġhaz kāTne aur seb tarāshne ke
kaam meñ laayā jā.egā
aur
zañg-ālūd hone par
hamāre dil meñ
utaar diyā jā.egā
hamari tanhai se
ek lalTain banai ja rahi hai
jise tufani barish mein
hangami taur par istimal kiya jaega
ya sone ki kan mein kaam karne walon ko
muft faraham kiya jaega
hamari tanhai se
ek bagghi banai ja rahi hai
jise tafrihi maqamat par rakha jaega
ya express train ke
paTri se utar jaane ke baad
KHarab mausam mein
rawana kya jaega
hamari tanhai se
ek pul banaya ja raha hai
jise jang ke dauran ya baad mein
Tankon ke guzar jaane ke liye
istimal kiya jaega
ya achanak
dhamake se uDa diya jaega
hamari tanhai se
ek chaqu banaya ja raha hai
jise kaghaz kaTne aur seb tarashne ke
kaam mein laya jaega
aur
zang-alud hone par
hamare dil mein
utar diya jaega
- Book : saarii nazmen (Pg. 301)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.