Dhaka se wapsi par
Interesting Fact
Faiz wrote this nazm after his visit to Dhaka in 1974
ham ki Thahre ajnabī itnī mudārātoñ ke baa'd
phir baneñge āshnā kitnī mulāqātoñ ke baa'd
kab nazar meñ aa.egī be-dāġh sabze kī bahār
ḳhuun ke dhabbe dhuleñge kitnī barsātoñ ke baa'd
the bahut bedard lamhe ḳhatm-e-dard-e-ishq ke
thiiñ bahut be-mehr sub.heñ mehrbāñ rātoñ ke baa'd
dil to chāhā par shikast-e-dil ne mohlat hī na dī
kuchh gile shikve bhī kar lete munājātoñ ke baa'd
un se jo kahne ga.e the 'faiz' jaañ sadqe kiye
an-kahī hī rah ga.ī vo baat sab bātoñ ke baa'd
hum ki Thahre ajnabi itni mudaraaton ke ba'd
phir banenge aashna kitni mulaqaton ke ba'd
kab nazar mein aaegi be-dagh sabze ki bahaar
KHun ke dhabbe dhulenge kitni barsaton ke ba'd
the bahut bedard lamhe KHatm-e-dard-e-ishq ke
thin bahut be-mehr subhen mehrban raaton ke ba'd
dil to chaha par shikast-e-dil ne mohlat hi na di
kuchh gile shikwe bhi kar lete munajaton ke ba'd
un se jo kahne gae the 'faiz' jaan sadqe kiye
an-kahi hi rah gai wo baat sab baaton ke ba'd
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 538)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.