dusra aasman
pahle din bādal zaḳhmī ho ga.e
dūsre din sitāre
aur tīsre din
bahut sī goliyāñ niile āsmān ko jā lagīñ
aur vo siyāh ho gayā
āñsuoñ kī tarah koī chiiz
zamīn par girne lagī
kabhī ḳhāmoshī ke saath bahut saarī būñdeñ
aur kabhī saḌak par shor machātā huā
moslā-dhār paanī
zaḳhmī āsmān
burī tarah ro rahā thā
us ne apnā chehra
bahut saare bādaloñ se Dhakā huā thā
ham use hañsāne kī koshish meñ bāhar nikalte
to bārish aur tez ho jaatī
siyāh aur maTyālī kīchaḌ apne jūtoñ meñ lagā.e
ham phir ghar meñ aa jaate
āsmān ke aañsū
qālīn meñ jazb ho jaate
yā hamāre kapḌoñ ke saath saare ghar meñ phail jaate
pakke farsh par hamāre kīchaḌ bhare pairoñ ke nishān
āsmān ke zaḳhmoñ kī tarah
kabhī halke aur kabhī gahre ho jaate
āsmān kī taraf jaane vaalī duā.eñ
tez bārish ke saath vāpas aa kar
giilī miTTī meñ ġhā.eb ho jātīñ
chhoTī chhoTī chhatriyāñ
āsmān kī yā hamārī qismat ke liye nā-kāfī thiiñ
aise mausam meñ thoḌī der ke liye
agar vo firing band kar dete
to shāyad hamārī tarah
āsmān bhī achchhā ho jaatā
pahle se ziyāda niilā aur chamakdār
pahle din baadal zaKHmi ho gae
dusre din sitare
aur tisre din
bahut si goliyan nile aasman ko ja lagin
aur wo siyah ho gaya
aansuon ki tarah koi chiz
zamin par girne lagi
kabhi KHamoshi ke sath bahut sari bunden
aur kabhi saDak par shor machata hua
mosla-dhaar pani
zaKHmi aasman
buri tarah ro raha tha
us ne apna chehra
bahut sare baadalon se Dhaka hua tha
hum use hansane ki koshish mein bahar nikalte
to barish aur tez ho jati
siyah aur maTyali kichaD apne juton mein lagae
hum phir ghar mein aa jate
aasman ke aansu
qalin mein jazb ho jate
ya hamare kapDon ke sath sare ghar mein phail jate
pakke farsh par hamare kichaD bhare pairon ke nishan
aasman ke zaKHmon ki tarah
kabhi halke aur kabhi gahre ho jate
aasman ki taraf jaane wali duaen
tez barish ke sath wapas aa kar
gili miTTi mein ghaeb ho jatin
chhoTi chhoTi chhatriyan
aasman ki ya hamari qismat ke liye na-kafi thin
aise mausam mein thoDi der ke liye
agar wo firing band kar dete
to shayad hamari tarah
aasman bhi achchha ho jata
pahle se ziyaada nila aur chamakdar
- Book : saarii nazmen (Pg. 468)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.