faKHr-e-jahilan
ik roz maiñ ne apnī muannas se ye kahā
begam mushā.ere ko maiñ aayā huuñ luuT kar
bolī ki maal luuT kā jaldī se dījiye
taaki use pakā.ūñ abhī piis kuuT kar
biivī kī kor-magzī pe bolā bigaḌ ke maiñ
ai ahmaqullazī tū na shā.er ko huuT kar
to faḳhr-e-jāhilāñ hai tujhe kyā batā.ūñ maiñ
dād-e-suḳhan sabhī ne mujhe dī hai chhūT kar
bolī vo sar ko piiT ke ā.ankhoñ ko kar ke laal
bijlī gire ġhazab kī tire sar pe TuuT kar
faaqe paḌe haiñ ghar meñ tujhe faḳhr-e-dād hai
aur itnā kah ke rone lagī phuuT phuuT kar
ek roz main ne apni muannas se ye kaha
begam mushaere ko main aaya hun luT kar
boli ki mal luT ka jaldi se dijiye
taki use pakaun abhi pis kuT kar
biwi ki kor-magzi pe bola bigaD ke main
ai ahmaqullazi tu na shaer ko huT kar
to faKHr-e-jahilan hai tujhe kya bataun main
dad-e-suKHan sabhi ne mujhe di hai chhuT kar
boli wo sar ko piT ke aaankhon ko kar ke lal
bijli gire ghazab ki tere sar pe TuT kar
faqe paDe hain ghar mein tujhe faKHr-e-dad hai
aur itna kah ke rone lagi phuT phuT kar
- Book : shair-e-aazam (Pg. 58)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.