faqat harf-e-tamanna kya hai
shaam raushan thī sunahrī thī
magar utrī chalī aatī thī
ziina ziina
aa ke phir ruk sī ga.ī
shab kī muñDeroñ ke qarīñ
ik sitāra bhī kahīñ saath hī jhuk aayā thā
jaise vo chhūne ko thā kānoñ ke baale us ke
gesuoñ ko bhī ki the ruḳh ke havāle us ke
kuhniyāñ Teke hue ek dhaḌaktī huī dīvār pe vo
khilkhilāte hue kuchh mujh se kahe jaatī thī
us kā āhañg-e-suḳhan munfarid lahn-e-kalām
zamzame phūTte the jis se shagūfoñ kī tarah
jhiil pe panchhī koī pañkh sañvāre jaise
sur kī lahroñ pe koī dil ko pukāre jaise
sāñvle chehre pe vo kānoñ ke baale kī damak
nāz-e-be-jā bhī na thā ruḳh pe tfāḳhur kī jhalak
itnī pur-nūr thiiñ vo āñkheñ ki gumāñ hotā thā
jaise ḳhurshīd abhī Duub ke ubhregā unhīñ āñkhoñ se
lekin is shaam un āñkhoñ se achānak TuuTe
do sitāre jo larazte rahe tā-der larazte hī rahe
jaise kahte hoñ ki is shām-e-gurezāñ kā bharosā kyā hai
dil na chāhe to faqat harf-e-tamannā kiyā hai
sham raushan thi sunahri thi
magar utri chali aati thi
zina zina
aa ke phir ruk si gai
shab ki munDeron ke qarin
ek sitara bhi kahin sath hi jhuk aaya tha
jaise wo chhune ko tha kanon ke baale us ke
gesuon ko bhi ki the ruKH ke hawale us ke
kuhniyan Teke hue ek dhaDakti hui diwar pe wo
khilkhilate hue kuchh mujh se kahe jati thi
us ka aahang-e-suKHan munfarid lahn-e-kalam
zamzame phuTte the jis se shagufon ki tarah
jhil pe panchhi koi pankh sanware jaise
sur ki lahron pe koi dil ko pukare jaise
sanwle chehre pe wo kanon ke baale ki damak
naz-e-be-ja bhi na tha ruKH pe tfaKHur ki jhalak
itni pur-nur thin wo aankhen ki guman hota tha
jaise KHurshid abhi Dub ke ubhrega unhin aankhon se
lekin is sham un aankhon se achanak TuTe
do sitare jo larazte rahe ta-der larazte hi rahe
jaise kahte hon ki is sham-e-gurezan ka bharosa kya hai
dil na chahe to faqat harf-e-tamanna kiya hai
- Book : Asaleeb (Pg. 198)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.