fitrat ek muflis ki nazar mein
fitrat ke pujārī kuchh to batā kyā husn hai in gulzāroñ meñ
hai kaun sī rānā.ī āḳhir in phūloñ meñ in ḳhāroñ meñ
vo ḳhvāh sulagte hoñ shab bhar vo ḳhvāh chamakte hoñ shab bhar
maiñ ne bhī to dekhā hai aksar kyā baat na.ī hai tāroñ meñ
is chāñd kī ThanDī kirnoñ se mujh ko to sukūñ hotā hī nahīñ
mujh ko to junūñ hotā hī nahīñ jab phirtā huuñ gulzāroñ meñ
ye chup chup nargis kī kaliyāñ kyā jaane kaisī kaliyāñ haiñ
jo khiltī haiñ jo hañstī haiñ aur phir bhī haiñ bīmāroñ meñ
ye laal shafaq ye lāla-o-gul ik chiñgārī bhī jin meñ nahīñ
shole bhī nahīñ garmī bhī nahīñ in tere ātish-zāroñ meñ
us vaqt kahāñ tū hotā hai jab mausam-e-garmā kā sūraj
dozaḳh kī tapish bhar detā hai dariyāoñ meñ kohsāroñ meñ
jaaḌe kī bhayānak rātoñ meñ vo sard havāoñ kī tezī
haañ vo tezī vo be-mehrī jo hotī hai talvāroñ meñ
dariyā ke talātum kā manzar haañ tujh ko mubārak ho lekin
ik TuuTī phūTī kashtī bhī chakrātī hai mañjdhāroñ meñ
koyal ke rasīle giit sune lekin ye kabhī sochā tū ne
haiñ uljhe hue naġhme kitne ik saaz ke TuuTe tāroñ meñ
bādal kī garaj bijlī kī chamak bārish meñ vo tezī tīroñ kī
maiñ ThiThurā simTā saḌkoñ par tū jām-ba-lab mai-ḳhvāroñ meñ
sab hosh o ḳhirad ke dushman haiñ sab qalb o nazar ke rahzan haiñ
rakkhā hai bhalā kyā is ke sivā in rāhat-e-jāñ mah-pāroñ meñ
vo laakh hilāloñ se bhī hasīñ kaisī zohra kaisī parvīñ
ik roTī kā TukḌā jo kahīñ mil jaa.e mujhe bāzāroñ meñ
jab jeb meñ paise bajte haiñ jab peT meñ roTī hotī hai
us vaqt ye zarra hiirā hai us vaqt ye shabnam motī hai
fitrat ke pujari kuchh to bata kya husn hai in gulzaron mein
hai kaun si ranai aaKHir in phulon mein in KHaron mein
wo KHwah sulagte hon shab bhar wo KHwah chamakte hon shab bhar
main ne bhi to dekha hai aksar kya baat nai hai taron mein
is chand ki ThanDi kirnon se mujh ko to sukun hota hi nahin
mujh ko to junun hota hi nahin jab phirta hun gulzaron mein
ye chup chup nargis ki kaliyan kya jaane kaisi kaliyan hain
jo khilti hain jo hansti hain aur phir bhi hain bimaron mein
ye lal shafaq ye lala-o-gul ek chingari bhi jin mein nahin
shole bhi nahin garmi bhi nahin in tere aatish-zaron mein
us waqt kahan tu hota hai jab mausam-e-garma ka suraj
dozaKH ki tapish bhar deta hai dariyaon mein kohsaron mein
jaDe ki bhayanak raaton mein wo sard hawaon ki tezi
han wo tezi wo be-mehri jo hoti hai talwaron mein
dariya ke talatum ka manzar han tujh ko mubarak ho lekin
ek TuTi phuTi kashti bhi chakraati hai manjdhaaron mein
koyal ke rasile git sune lekin ye kabhi socha tu ne
hain uljhe hue naghme kitne ek saz ke TuTe taron mein
baadal ki garaj bijli ki chamak barish mein wo tezi tiron ki
main ThiThura simTa saDkon par tu jam-ba-lab mai-KHwaron mein
sab hosh o KHirad ke dushman hain sab qalb o nazar ke rahzan hain
rakkha hai bhala kya is ke siwa in rahat-e-jaan mah-paron mein
wo lakh hilalon se bhi hasin kaisi zohra kaisi parwin
ek roTi ka TukDa jo kahin mil jae mujhe bazaron mein
jab jeb mein paise bajte hain jab peT mein roTi hoti hai
us waqt ye zarra hira hai us waqt ye shabnam moti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.