ghalat theatre
baḌā stage
surḳh maḳhmalīñ parde ke aage
charlie chaplin kī naql karte hue
ḳhudā ne ġhā.ebāna taur par maujūd shā.eqīn kā shukriya adā kiyā
zindagī ko bahut qarīb se dikhā kar ḳhudā
apnā aap manvā chukā hai
musalsal tāliyoñ kī guuñj ne
bazāhir
māhaul banā diyā lekin
dar-parda dāhinī dīvār se paivasta
kursiyoñ kī lambī qatār lagī hai
izrā.īl sūrat-e-intizār-e-dā.im nahīf rūhoñ par
chābuk chalā rahā hai
ḳhudā ke naam par tāliyāñ baj rahī haiñ
background meñ maġhribī mausīqī bah rahī hai
'ajab kashmakash meñ mubtalā haiñ
ye jiine kī chaah meñ baiThe hue log
maiñ sust-mizāj zindagī ke theatre meñ tāḳhīr se pahuñchā
sabhī nashisteñ pur haiñ
ticket-farosh kī āñkheñ ġhair-tarāshe nāḳhun kī tarah
mere chehre meñ chubh rahī haiñ
maiñ ġhalat theatre meñ aa gayā huuñ
merī film kahīñ aur release honī thī
baDa stage
surKH maKHmalin parde ke aage
charlie chaplin ki naql karte hue
KHuda ne ghaebana taur par maujud shaeqin ka shukriya ada kiya
zindagi ko bahut qarib se dikha kar KHuda
apna aap manwa chuka hai
musalsal taliyon ki gunj ne
bazahir
mahaul bana diya lekin
dar-parda dahini diwar se paiwasta
kursiyon ki lambi qatar lagi hai
izrail surat-e-intizar-e-daim nahif ruhon par
chabuk chala raha hai
KHuda ke nam par taliyan baj rahi hain
background mein maghribi mausiqi bah rahi hai
'ajab kashmakash mein mubtala hain
ye jine ki chah mein baiThe hue log
main sust-mizaj zindagi ke theatre mein taKHir se pahuncha
sabhi nashisten pur hain
ticket-farosh ki aankhen ghair-tarashe naKHun ki tarah
mere chehre mein chubh rahi hain
main ghalat theatre mein aa gaya hun
meri film kahin aur release honi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.