hamein har roz
hameñ har roz
phuul ḳharīdne chāhiyeñ
aur mom-battiyāñ
aur paanī kī ḳhālī botaleñ
aur plastic ke bartan
jañg meñ koī bhī chiiz kaam aa saktī hai
hameñ khilaune nahīñ ḳharīdne chāhiyeñ
kitāboñ kī taraf nahīñ dekhnā chāhiye
dhuup ke chashme aur chhatriyāñ chhupā denī chāhiyeñ
gas-lighter bhī chhupā dene chāhiyeñ
hameñ apnī jeb meñ biscuit
aur māchis kī Dibiyā hamesha rakhnī chāhiye
kisī ko dene yā kuchh jalāne ke liye
ek rūmāl bhī zarūrī hai
zaḳhmī uñgliyoñ yā jaltī huī āñkhoñ ke liye
ek post-card rozāna
latter-box meñ Daal dene chāhiye
Daak nizām bahāl hone par
hamārī ḳhairiyat dostoñ tak pahuñch jā.egī
shāyad vo hamārī talāsh meñ idhar aa jaa.eñ
jahāñ baar baar Dhone vaale log
kho.e hue haiñ
hamein har roz
phul KHaridne chahiyen
aur mom-battiyan
aur pani ki KHali botalen
aur plastic ke bartan
jang mein koi bhi chiz kaam aa sakti hai
hamein khilaune nahin KHaridne chahiyen
kitabon ki taraf nahin dekhna chahiye
dhup ke chashme aur chhatriyan chhupa deni chahiyen
gas-lighter bhi chhupa dene chahiyen
hamein apni jeb mein biscuit
aur machis ki Dibiya hamesha rakhni chahiye
kisi ko dene ya kuchh jalane ke liye
ek rumal bhi zaruri hai
zaKHmi ungliyon ya jalti hui aankhon ke liye
ek post-card rozana
latter-box mein Dal dene chahiye
Dak nizam bahaal hone par
hamari KHairiyat doston tak pahunch jaegi
shayad wo hamari talash mein idhar aa jaen
jahan bar bar Dhone wale log
khoe hue hain
- Book : saarii nazmen (Pg. 730)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.