hamesha der kar deta hun
hamesha der kar detā huuñ maiñ har kaam karne meñ
zarūrī baat kahnī ho koī va.ada nibhānā ho
use āvāz denī ho use vāpas bulānā ho
hamesha der kar detā huuñ maiñ
madad karnī ho us kī yaar kī Dhāras bañdhānā ho
bahut derīna rastoñ par kisī se milne jaanā ho
hamesha der kar detā huuñ maiñ
badalte mausamoñ kī sair meñ dil ko lagānā ho
kisī ko yaad rakhnā ho kisī ko bhuul jaanā ho
hamesha der kar detā huuñ maiñ
kisī ko maut se pahle kisī ġham se bachānā ho
haqīqat aur thī kuchh us ko jā ke ye batānā ho
hamesha der kar detā huuñ maiñ har kaam karne meñ.....
hamesha der kar deta hun main har kaam karne mein
zaruri baat kahni ho koi wada nibhana ho
use aawaz deni ho use wapas bulana ho
hamesha der kar deta hun main
madad karni ho us ki yar ki Dhaaras bandhana ho
bahut derina raston par kisi se milne jaana ho
hamesha der kar deta hun main
badalte mausamon ki sair mein dil ko lagana ho
kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhul jaana ho
hamesha der kar deta hun main
kisi ko maut se pahle kisi gham se bachana ho
haqiqat aur thi kuchh us ko ja ke ye batana ho
hamesha der kar deta hun main har kaam karne mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.