holi
holī jab bhī aa.e
pyaar kī ḳhushiyāñ laa.e
rañgoñ ke kheloñ meñ
mastī sī chhā jaa.e
ḳhush haiñ daadī naanī
bachchoñ kī nādānī
pichkārī meñ bhar kar
pheñk rahe haiñ paanī
rañg rañgīlī holī
chhail chhabelī holī
bachche huuñ yā būḌhe
sab kī sahelī holī
paanī ke ġhubāre
rañgoñ ke nazāre
burā na maano bhayyā
lagte haiñ kyā pyāre
holi jab bhi aae
pyar ki KHushiyan lae
rangon ke khelon mein
masti si chha jae
KHush hain dadi nani
bachchon ki nadani
pichkari mein bhar kar
phenk rahe hain pani
rang rangili holi
chhail chhabeli holi
bachche hun ya buDhe
sab ki saheli holi
pani ke ghubare
rangon ke nazare
bura na mano bhayya
lagte hain kya pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.