holi
kahīñ paḌe na mohabbat kī maar holī meñ
adā se prem karo dil se pyaar holī meñ
gale meñ Daal do bāñhoñ kā haar holī meñ
utāro ek baras kā ḳhumār holī meñ
milo gale se gale baar baar holī meñ
lagā ke aag baḌhī aage raat kī jogan
na.e libās meñ aa.ī hai sub.h kī mālan
nazar nazar hai kuñvārī adā adā kamsin
haiñ rañg rañg se sab rañg-bār holī meñ
milo gale se gale baar baar holī meñ
havā har ek ko chal phir ke gudgudātī hai
nahīñ jo hañste unheñ chheḌ kar hañsātī hai
hayā guloñ ko to kaliyoñ ko sharm aatī hai
baḌhāo baḌh ke chaman kā vaqār holī meñ
milo gale se gale baar baar holī meñ
ye kis ne rañg bharā har kalī kī pyālī meñ
gulāl rakh diyā kis ne guloñ kī thālī meñ
kahāñ kī mastī hai mālan meñ aur maalī meñ
yahī haiñ saare chaman kī pukār holī meñ
milo gale se gale baar baar holī meñ
tumhīñ se phuul chaman ke tumhīñ se phulvārī
sajā.e jaao diloñ ke gulāb kī kyārī
chalā.e jaao nashīlī nazar se pichkārī
luTā.e jaao barābar bahār holī meñ
milo gale se gale baar baar holī meñ
mile ho baara mahīnoñ kī dekh-bhāl ke ba.ad
ye din sitāre dikhāte haiñ kitnī chaal ke ba.ad
ye din gayā to phir aa.egā ek saal ke ba.ad
nigāheñ karte chalo chaar yaar holī meñ
milo gale se gale baar baar holī meñ
burā.ī aaj na aise rahe na vaise rahe
safā.ī dil meñ rahe aaj chāhe jaise rahe
ġhubār dil meñ kisī ke rahe to kaise rahe
abiir uḌtī hai ban kar ġhubār holī meñ
milo gale se gale baar baar holī meñ
hayā meñ Dūbne vaale bhī aaj ubharte haiñ
hasīn shoḳhiyāñ karte hue guzarte haiñ
jo choT se kabhī bachte the choT karte haiñ
hiran bhī khel rahe haiñ shikār holī meñ
milo gale se gale baar baar holī meñ
kahin paDe na mohabbat ki mar holi mein
ada se prem karo dil se pyar holi mein
gale mein Dal do banhon ka haar holi mein
utaro ek baras ka KHumar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
laga ke aag baDhi aage raat ki jogan
nae libas mein aai hai subh ki malan
nazar nazar hai kunwari ada ada kamsin
hain rang rang se sab rang-bar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
hawa har ek ko chal phir ke gudgudati hai
nahin jo hanste unhen chheD kar hansati hai
haya gulon ko to kaliyon ko sharm aati hai
baDhao baDh ke chaman ka waqar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
ye kis ne rang bhara har kali ki pyali mein
gulal rakh diya kis ne gulon ki thaali mein
kahan ki masti hai malan mein aur mali mein
yahi hain sare chaman ki pukar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
tumhin se phul chaman ke tumhin se phulwari
sajae jao dilon ke gulab ki kyari
chalae jao nashili nazar se pichkari
luTae jao barabar bahaar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
mile ho bara mahinon ki dekh-bhaal ke baad
ye din sitare dikhate hain kitni chaal ke baad
ye din gaya to phir aaega ek sal ke baad
nigahen karte chalo chaar yar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
burai aaj na aise rahe na waise rahe
safai dil mein rahe aaj chahe jaise rahe
ghubar dil mein kisi ke rahe to kaise rahe
abir uDti hai ban kar ghubar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
haya mein Dubne wale bhi aaj ubharte hain
hasin shoKHiyan karte hue guzarte hain
jo choT se kabhi bachte the choT karte hain
hiran bhi khel rahe hain shikar holi mein
milo gale se gale bar bar holi mein
- Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 383)
- Author : naziir banarsi
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.