kahen se koi nuqta aa jae
jo kisī bhī lafz par
na lagāyā jā sake
aur vo nuqta
alāhida
alag-thalag
khaḌā rahe
kisī bhī gumān ke sahāre
is intizār meñ
ki koī aisā lafz aa jaa.e
jis par use lagāyā jā sake
ye bhī ho saktā hai
vo nuqta
sadiyoñ us lafz kā
intizār kartā rahe
ye bhī ho saktā hai
sad.hā saal guzar jaane ke ba.ad
ye saare lafz bosīda ho jaa.eñ
aur gal-saḌ kar
tahlīl ho jaa.eñ
aur kuchh baaqī na rahe
sirf vo nuqta rah jaa.e
jo kisi bhi lafz par
na lagaya ja sake
aur wo nuqta
alahida
alag-thalag
khaDa rahe
kisi bhi guman ke sahaare
is intizar mein
ki koi aisa lafz aa jae
jis par use lagaya ja sake
ye bhi ho sakta hai
wo nuqta
sadiyon us lafz ka
intizar karta rahe
ye bhi ho sakta hai
sadha sal guzar jaane ke baad
ye sare lafz bosida ho jaen
aur gal-saD kar
tahlil ho jaen
aur kuchh baqi na rahe
sirf wo nuqta rah jae
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 70)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.