leader ki dua
iblīs mire dil meñ vo zinda tamannā de
jo ġhairoñ ko apnā le aur apnoñ ko Tarḳhā de
bhāshan ke liye dam de aur toñd ko fulvā de
paayā hai jo auroñ ne vo mujh ko bhī dilvā de
paidā dil-e-votar meñ vo shorish-e-mahshar kar
jo josh-e-election meñ Dañkā mirā bajvā de
maiñ apne ilāqa ke logoñ ko bhī ghaplā duuñ
vo shauq-e-siyāsat de vo jhuuT kā jazba de
maiñ nūr-e-sadāqat se parhez karūñ har dam
siine meñ siyāhī kā bahtā huā dariyā de
ehsās ināyat kar kursī kī mohabbat kā
imroz kī shorish meñ be-fikri-e-fardā de
be daal ke būdam par rakh dast-e-karam aaqā
zindāni-e-zulmat kī taqdīr ko chamkā de
iblis mere dil mein wo zinda tamanna de
jo ghairon ko apna le aur apnon ko TarKHa de
bhashan ke liye dam de aur tond ko fulwa de
paya hai jo auron ne wo mujh ko bhi dilwa de
paida dil-e-wotar mein wo shorish-e-mahshar kar
jo josh-e-election mein Danka mera bajwa de
main apne ilaqa ke logon ko bhi ghapla dun
wo shauq-e-siyasat de wo jhuT ka jazba de
main nur-e-sadaqat se parhez karun har dam
sine mein siyahi ka bahta hua dariya de
ehsas inayat kar kursi ki mohabbat ka
imroz ki shorish mein be-fikri-e-farda de
be dal ke budam par rakh dast-e-karam aaqa
zindani-e-zulmat ki taqdir ko chamka de
- Book : shair-e-aazam (Pg. 68)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.