maika
maiñ ne chāhā thā koī ujāle sā haath
merī uñglī pakaḌ kar mujhe aage baḌhnā sikhā.e
madrasoñ daftaroñ shāh-rāhoñ makānoñ dūkānoñ
talak le chale
lekin aisā huā
jis jagah āñkheñ kholī thī maiñ ne
vahāñ haath saare roTī banāne pe māmūr the
ḳhauf aatā thā ghar se nikalte hue
Dagmagāte qadam
guñg alfāz
bebas nigāheñ liye
aage baḌhtī thī maiñ
chūñki ruknā koī hal nahīñ thā
so maiñ apnī galī se nikal kar jahāñ bhī ga.ī
ajnabī merī sahmī huī zaat pe
Darte Darte adā hotī har baat pe
fiqre kaste rahe
aur hañste rahe
tab se ab tak nahīñ yaad
kitne hī dariyā bahe
kab gulābī badan sāñvlā ho gayā
ujlī be-dāġh āñkhoñ meñ
kab dard ke zard mausam utar aa.e
kab aa.ina dhuul se bhar gayā
lekin ab daftaroñ shāh-rāhoñ makānoñ dūkānoñ meñ
jaate hue ḳhauf aatā nahīñ
āsmānoñ ko chhūtī imārāt se
ajnabī sar-zamīnoñ se
ūñche qadoñ
tez-raftār dariyāoñ se ḳhauf aatā nahīñ
ab maiñ chaltī huuñ to mere hamrāh chaltī haiñ nazmeñ mirī
maañ se nazmeñ
bhaa.ī se nazmeñ
vaqt
tū ne jo merā gulābī badan sāñvlā kar
ujāloñ sī nazmeñ mujhe dī haiñ
terā bahut shukriya
main ne chaha tha koi ujale sa hath
meri ungli pakaD kar mujhe aage baDhna sikhae
madrason daftaron shah-rahon makanon dukanon
talak le chale
lekin aisa hua
jis jagah aankhen kholi thi main ne
wahan hath sare roTi banane pe mamur the
KHauf aata tha ghar se nikalte hue
Dagmagate qadam
gung alfaz
bebas nigahen liye
aage baDhti thi main
chunki rukna koi hal nahin tha
so main apni gali se nikal kar jahan bhi gai
ajnabi meri sahmi hui zat pe
Darte Darte ada hoti har baat pe
fiqre kaste rahe
aur hanste rahe
tab se ab tak nahin yaad
kitne hi dariya bahe
kab gulabi badan sanwla ho gaya
ujli be-dagh aankhon mein
kab dard ke zard mausam utar aae
kab aaina dhul se bhar gaya
lekin ab daftaron shah-rahon makanon dukanon mein
jate hue KHauf aata nahin
aasmanon ko chhuti imaraat se
ajnabi sar-zaminon se
unche qadon
tez-raftar dariyaon se KHauf aata nahin
ab main chalti hun to mere hamrah chalti hain nazmen meri
man se nazmen
bhai se nazmen
waqt
tu ne jo mera gulabi badan sanwla kar
ujalon si nazmen mujhe di hain
tera bahut shukriya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.