Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

madh

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    Interesting Fact

    (The late Hussain Shaheed Suhrawardi had advocated in the Rawalpindi "conspiracy" case on behalf of the accused) This letter of thanks was presented to him at the end of the trial.

    (1)

    kas tarah bayāñ ho tirā pairā-e-taqrīr

    goyā sar-e-bātil pe chamakne lagī shamshīr

    vo zor hai ik lafz idhar nutq se niklā

    vaañ sīna-e-aġhyār meñ paivast hue tiir

    garmī bhī hai ThanDak bhī ravānī bhī sakūñ bhī

    tāsīr kyā kahiye hai tāsīr tāsīr

    e.ajāz usī hai ki arbāb-e-sitam

    ab tak koī anjām ko pahuñchī nahīñ tadbīr

    atrāf-e-vatan meñ huā haq baat shohra

    har ek jagah makr-o-riyā huī tash.hīr

    raushan hue ummīd se ruḳh ahl-e-vafā ke

    peshānī-e-ādā pe siyāhī huī tahrīr

    (2)

    hurriyat-e-ādam rah-e-saḳht ke rah-gīr

    ḳhātir meñ nahīñ laate ḳhayāl-e-dam-e-ta.azīr

    kuchh nañg nahīñ ranj-e-asīrī ki purānā

    mardān-e-safā-kesh se hai rishtā-e-zanjīr

    kab dabdaba-e-jabr se dabte haiñ ki jin ke

    īmān o yaqīñ dil meñ kiye rahte haiñ tanvīr

    ma.alūm hai un ko ki rihā hogī kasī din

    zālim ke girāñ haath se mazlūm taqdīr

    āḳhir ko sar-afrāz huā karte haiñ ahrār

    āḳhir ko girā kartī hai har jaur ta.amīr

    har daur meñ sar hote haiñ qasr-e-jam-o-dārā

    har ahd meñ dīvār-e-sitam hotī hai tasḳhīr

    har daur meñ mal.ūn shaqāvat hai 'shimar'

    har ahd meñ mas.ūd hai qurbānī-e-shabbīr

    (3)

    kartā hai qalam apne lab o nutq tathīr

    pahuñchī hai sar-e-haraf-e-duā ab mirī tahrīr

    har kaam meñ barkat ho har ik qaul meñ quvvat

    har gaam pe ho manzil-e-maqsūd qadam-gīr

    har lahza tirā tāle-e-iqbāl sivā ho

    har lahza madad-gār ho tadbīr taqdīr

    har baat ho maqbūl, har ik bol ho baalā

    kuchh aur bhī raunaq meñ baḌhe shola-e-taqrīr

    har din ho tirā lutf-e-zabāñ aur ziyāda

    allāh kare zor-e-bayāñ aur ziyāda

    (1)

    kas tarah bayan ho tera paira-e-taqrir

    goya sar-e-baatil pe chamakne lagi shamshir

    wo zor hai ek lafz idhar nutq se nikla

    wan sina-e-aghyar mein paiwast hue tir

    garmi bhi hai ThanDak bhi rawani bhi sakun bhi

    tasir ka kya kahiye hai tasir hi tasir

    eajaz usi ka hai ki arbab-e-sitam ki

    ab tak koi anjam ko pahunchi nahin tadbir

    atraf-e-watan mein hua haq baat ka shohra

    har ek jagah makr-o-riya ki hui tashhir

    raushan hue ummid se ruKH ahl-e-wafa ke

    peshani-e-ada pe siyahi hui tahrir

    (2)

    hurriyat-e-adam ki rah-e-saKHt ke rah-gir

    KHatir mein nahin late KHayal-e-dam-e-tazir

    kuchh nang nahin ranj-e-asiri ki purana

    mardan-e-safa-kesh se hai rishta-e-zanjir

    kab dabdaba-e-jabr se dabte hain ki jin ke

    iman o yaqin dil mein kiye rahte hain tanwir

    malum hai un ko ki riha hogi kasi din

    zalim ke giran hath se mazlum ki taqdir

    aaKHir ko sar-afraaz hua karte hain ahrar

    aaKHir ko gira karti hai har jaur ki tamir

    har daur mein sar hote hain qasr-e-jam-o-dara

    har ahd mein diwar-e-sitam hoti hai tasKHir

    har daur mein malun shaqawat hai 'shimar' ki

    har ahd mein masud hai qurbani-e-shabbir

    (3)

    karta hai qalam apne lab o nutq ki tathir

    pahunchi hai sar-e-haraf-e-dua ab meri tahrir

    har kaam mein barkat ho har ek qaul mein quwwat

    har gam pe ho manzil-e-maqsud qadam-gir

    har lahza tera tale-e-iqbaal siwa ho

    har lahza madad-gar ho tadbir ki taqdir

    har baat ho maqbul, har ek bol ho baala

    kuchh aur bhi raunaq mein baDhe shola-e-taqrir

    har din ho tera lutf-e-zaban aur ziyaada

    allah kare zor-e-bayan aur ziyaada

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 570)

      • Edition: 2009
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now