mai.n tere sapne dekhuu.n
barkhā barse chhat par maiñ tere sapne dekhūñ
barf gire parbat par maiñ tere sapne dekhūñ
sub.h kī nīl-parī maiñ tere sapne dekhūñ
koyal dhuum machā.e maiñ tere sapne dekhūñ
aa.e aur uḌ jaa.e maiñ tere sapne dekhūñ
bāġhoñ meñ patte mahkeñ maiñ tere sapne dekhūñ
shabnam ke motī dahkeñ maiñ tere sapne dekhūñ
is pyaar meñ koī dhokā hai
tū naar nahīñ kuchh aur hai shai
varna kyuuñ har ek samay
maiñ tere sapne dekhūñ
barkha barse chhat par main tere sapne dekhun
barf gire parbat par main tere sapne dekhun
subh ki nil-pari main tere sapne dekhun
koyal dhum machae main tere sapne dekhun
aae aur uD jae main tere sapne dekhun
baghon mein patte mahken main tere sapne dekhun
shabnam ke moti dahken main tere sapne dekhun
is pyar mein koi dhoka hai
tu nar nahin kuchh aur hai shai
warna kyun har ek samay
main tere sapne dekhun
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 469)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.