mere hamdam mere dost!
gar mujhe is kā yaqīñ ho mire hamdam mire dost
gar mujhe is kā yaqīñ ho ki tire dil kī thakan
tirī āñkhoñ kī udāsī tere siine kī jalan
merī dil-jūī mire pyaar se miT jā.egī
gar mirā harf-e-tasallī vo davā ho jis se
jī uThe phir tirā ujḌā huā be-nūr dimāġh
terī peshānī se Dhal jaa.eñ ye tazlīl ke daaġh
terī bīmār javānī ko shifā ho jaa.e
gar mujhe is kā yaqīñ ho mire hamdam mare dost
roz o shab shaam o sahar maiñ tujhe bahlātā rahūñ
maiñ tujhe giit sunātā rahūñ halke shīrīñ
ābshāroñ ke bahāroñ ke chaman-zāroñ ke giit
āmad-e-sub.h ke, mahtāb ke, sayyāroñ ke giit
tujh se maiñ husn-o-mohabbat kī hikāyāt kahūñ
kaise maġhrūr hasīnāoñ ke barfāb se jism
garm hāthoñ kī harārat meñ pighal jaate haiñ
kaise ik chehre ke Thahre hue mānūs nuqūsh
dekhte dekhte yak-laḳht badal jaate haiñ
kis tarah āriz-e-mahbūb kā shaffāf bilor
yak-ba-yak bāda-e-ahmar se dahak jaatā hai
kaise gulchīñ ke liye jhuktī hai ḳhud shāḳh-e-gulāb
kis tarah raat kā aivān mahak jaatā hai
yūñhī gaatā rahūñ gaatā rahūñ terī ḳhātir
giit buntā rahūñ baiThā rahūñ terī ḳhātir
par mire giit tire dukh kā mudāvā hī nahīñ
naġhma jarrāh nahīñ mūnis-o-ġham ḳhvār sahī
giit nashtar to nahīñ marham-e-āzār sahī
tere āzār kā chāra nahīñ nashtar ke sivā
aur ye saffāk masīhā mire qabze meñ nahīñ
is jahāñ ke kisī zī-rūh ke qabze meñ nahīñ
haañ magar tere sivā tere sivā tere sivā
gar mujhe is ka yaqin ho mere hamdam mere dost
gar mujhe is ka yaqin ho ki tere dil ki thakan
teri aankhon ki udasi tere sine ki jalan
meri dil-jui mere pyar se miT jaegi
gar mera harf-e-tasalli wo dawa ho jis se
ji uThe phir tera ujDa hua be-nur dimagh
teri peshani se Dhal jaen ye tazlil ke dagh
teri bimar jawani ko shifa ho jae
gar mujhe is ka yaqin ho mere hamdam mare dost
roz o shab sham o sahar main tujhe bahlata rahun
main tujhe git sunata rahun halke shirin
aabshaaron ke bahaaron ke chaman-zaron ke git
aamad-e-subh ke, mahtab ke, sayyaron ke git
tujh se main husn-o-mohabbat ki hikayat kahun
kaise maghrur hasinaon ke barfab se jism
garm hathon ki hararat mein pighal jate hain
kaise ek chehre ke Thahre hue manus nuqush
dekhte dekhte yak-laKHt badal jate hain
kis tarah aariz-e-mahbub ka shaffaf bilor
yak-ba-yak baada-e-ahmar se dahak jata hai
kaise gulchin ke liye jhukti hai KHud shaKH-e-gulab
kis tarah raat ka aiwan mahak jata hai
yunhi gata rahun gata rahun teri KHatir
git bunta rahun baiTha rahun teri KHatir
par mere git tere dukh ka mudawa hi nahin
naghma jarrah nahin munis-o-gham KHwar sahi
git nashtar to nahin marham-e-azar sahi
tere aazar ka chaara nahin nashtar ke siwa
aur ye saffak masiha mere qabze mein nahin
is jahan ke kisi zi-ruh ke qabze mein nahin
han magar tere siwa tere siwa tere siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.