cycle
ik roz jā rahe the kahīñ cycle se ham
pahuñche jo ek moḌ pe nāzil huā sitam
pedal se cycle ke jo paaoñ ukhaḌ ga.e
ham jā ke ek shoḳh hasīna se laḌ ga.e
sambhlī jo vo to hatthe se fauran ukhaḌ ga.ī
goyā huī to jaise havāoñ se laḌ ga.ī
kahne lagī ki andhe haiñ aatā nahīñ nazar
ye harkateñ janāb kī ye rīsh-e-mo'atabar
phirte haiñ kyā sharīfoñ kī sūrat banā ke aap
yuuñ auratoñ pe girte haiñ dāḌhī rakhā ke aap
ham ne kahā ki thuuk do ġhusse ko nāznīñ
cycle laḌī hai tum se ye dāḌhī laḌī nahīñ
dāḌhī kā naam le ke hameñ kyoñ ho Toktī
dāḌhī koī break hai jo cycle ko roktī
ek roz ja rahe the kahin cycle se hum
pahunche jo ek moD pe nazil hua sitam
pedal se cycle ke jo paon ukhaD gae
hum ja ke ek shoKH hasina se laD gae
sambhli jo wo to hatthe se fauran ukhaD gai
goya hui to jaise hawaon se laD gai
kahne lagi ki andhe hain aata nahin nazar
ye harkaten janab ki ye rish-e-mo'atabar
phirte hain kya sharifon ki surat bana ke aap
yun auraton pe girte hain daDhi rakha ke aap
hum ne kaha ki thuk do ghusse ko naznin
cycle laDi hai tum se ye daDhi laDi nahin
daDhi ka nam le ke hamein kyon ho Tokti
daDhi koi break hai jo cycle ko rokti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.