mohabbat ki ek nazm
mohabbat kī ek nazm
agar kabhī merī yaad aa.e
to chāñd rātoñ kī narm dil-gīr raushnī meñ
kisī sitāre ko dekh lenā
agar vo naḳhl-e-falak se uḌ kar
tumhāre qadmoñ meñ aa gire
to ye jaan lenā vo isti.āra thā mere dil kā
agar na aa.e
magar ye mumkin hī kis tarah hai
ki tum kisī par nigāh Daalo
to us kī dīvār-e-jāñ na TuuTe
vo apnī hastī na bhuul jaa.e
agar kabhī merī yaad aa.e
gurez kartī havā kī lahroñ pe haath rakhnā
maiñ ḳhushbuoñ meñ tumheñ milūñgā
mujhe gulāboñ kī pattiyoñ meñ talāsh karnā
maiñ os-qatroñ ke ā.īnoñ meñ tumheñ milūñgā
agar sitāroñ meñ os-qatroñ meñ ḳhushbuoñ meñ na paao mujh ko
to apne qadmoñ meñ dekh lenā maiñ gard hotī masāfatoñ meñ tumheñ milūñgā
kahīñ pe raushan charāġh dekho
to jaan lenā ki har patañge ke saath maiñ bhī bikhar chukā huuñ
tum apne hāthoñ se un patañgoñ kī ḳhaak dariyā meñ Daal denā
maiñ ḳhaak ban kar samundaroñ meñ safar karūñgā
kisī na dekhe hue jazīre pe
ruk ke tum ko sadā.eñ dūñgā
samundaroñ ke safar pe niklo
to us jazīre pe bhī utarnā
mohabbat ki ek nazm
agar kabhi meri yaad aae
to chand raaton ki narm dil-gir raushni mein
kisi sitare ko dekh lena
agar wo naKHl-e-falak se uD kar
tumhaare qadmon mein aa gire
to ye jaan lena wo istiara tha mere dil ka
agar na aae
magar ye mumkin hi kis tarah hai
ki tum kisi par nigah Dalo
to us ki diwar-e-jaan na TuTe
wo apni hasti na bhul jae
agar kabhi meri yaad aae
gurez karti hawa ki lahron pe hath rakhna
main KHushbuon mein tumhein milunga
mujhe gulabon ki pattiyon mein talash karna
main os-qatron ke aainon mein tumhein milunga
agar sitaron mein os-qatron mein KHushbuon mein na pao mujh ko
to apne qadmon mein dekh lena main gard hoti masafaton mein tumhein milunga
kahin pe raushan charagh dekho
to jaan lena ki har patange ke sath main bhi bikhar chuka hun
tum apne hathon se un patangon ki KHak dariya mein Dal dena
main KHak ban kar samundaron mein safar karunga
kisi na dekhe hue jazire pe
ruk ke tum ko sadaen dunga
samundaron ke safar pe niklo
to us jazire pe bhi utarna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.