aaina-dar-aina
is baar vo milā to ajab us kā rañg thā
alfāz meñ tarañg na lahja dabañg thā
ik soch thī ki bikhrī huī ḳhāl-o-ḳhat meñ thī
ik dard thā ki jis kā shahīd añg añg thā
ik aag thī ki raakh meñ poshīda thī kahīñ
ik jism thā ki ruuh se masrūf-e-jañg thā
maiñ ne kahā ki yaar tumheñ kyā huā hai ye
us ne kahā ki umr-e-ravāñ kī atā hai ye
maiñ ne kahā ki umr-e-ravāñ to sabhī kī hai
us ne kahā ki fikr-o-nazar kī sazā hai ye
maiñ ne kahā ki sochtā rahtā to maiñ bhī huuñ
us ne kahā ki ā.īna rakkhā huā hai
dekhā to merā apnā hī aks-e-jalī thā vo
vo shaḳhs maiñ thā aur 'himāyat-alī' thā vo
is bar wo mila to ajab us ka rang tha
alfaz mein tarang na lahja dabang tha
ek soch thi ki bikhri hui KHal-o-KHat mein thi
ek dard tha ki jis ka shahid ang ang tha
ek aag thi ki rakh mein poshida thi kahin
ek jism tha ki ruh se masruf-e-jang tha
main ne kaha ki yar tumhein kya hua hai ye
us ne kaha ki umr-e-rawan ki ata hai ye
main ne kaha ki umr-e-rawan to sabhi ki hai
us ne kaha ki fikr-o-nazar ki saza hai ye
main ne kaha ki sochta rahta to main bhi hun
us ne kaha ki aaina rakkha hua hai
dekha to mera apna hi aks-e-jali tha wo
wo shaKHs main tha aur 'himayat-ali' tha wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.