mushir
maiñ ne us se ye kahā
ye jo das karoḌ haiñ
jahl kā nichoḌ haiñ
un kī fikr so ga.ī
har umiid kī kiran
zulmatoñ meñ kho ga.ī
ye ḳhabar durust hai
un kī maut ho ga.ī
be-shu.ūr log haiñ
zindagī kā rog haiñ
aur tere paas hai
un ke dard kī davā
maiñ ne us se ye kahā
tū ḳhudā kā nuur hai
aql hai shu.ūr hai
qaum tere saath hai
tere hī vajūd se
mulk kī najāt hai
tū hai mahr-e-sub.h-e-nau
tere ba.ad raat hai
bolte jo chand haiñ
sab ye shar-pasand haiñ
un kī khīñch le zabāñ
un kā ghoñT de galā
maiñ ne us se ye kahā
jin ko thā zabāñ pe naaz
chup haiñ vo zabāñ-darāz
chain hai samāj meñ
be-misāl farq hai
kal meñ aur aaj meñ
apne ḳharch par haiñ qaid
log tere raaj meñ
aadmī hai vo baḌā
dar pe jo rahe paḌā
jo panāh maañg le
us kī baḳhsh de ḳhatā
maiñ ne us se ye kahā
har vazīr har safīr
be-nazīr hai mushīr
vaah kyā javāb hai
tere zehn kī qasam
ḳhuub intiḳhāb hai
jāgtī hai afsarī
qaum mahv-e-ḳhvāb hai
ye tirā vazīr-ḳhāñ
de rahā hai jo bayāñ
paḌh ke un ko har koī
kah rahā hai marhabā
maiñ ne us se ye kahā
chiin apnā yaar hai
us pe jāñ-nisār hai
par vahāñ hai jo nizām
us taraf na jā.iyo
us ko duur se salām
das karoḌ ye gad.he
jin kā naam hai avaam
kyā baneñge hukmarāñ
tū ''yaqīñ'' hai ye ''gumāñ''
apnī to duā hai ye
sadr tū rahe sadā
maiñ ne us se ye kahā
main ne us se ye kaha
ye jo das karoD hain
jahl ka nichoD hain
un ki fikr so gai
har umid ki kiran
zulmaton mein kho gai
ye KHabar durust hai
un ki maut ho gai
be-shuur log hain
zindagi ka rog hain
aur tere pas hai
un ke dard ki dawa
main ne us se ye kaha
tu KHuda ka nur hai
aql hai shuur hai
qaum tere sath hai
tere hi wajud se
mulk ki najat hai
tu hai mahr-e-subh-e-nau
tere baad raat hai
bolte jo chand hain
sab ye shar-pasand hain
un ki khinch le zaban
un ka ghonT de gala
main ne us se ye kaha
jin ko tha zaban pe naz
chup hain wo zaban-daraaz
chain hai samaj mein
be-misal farq hai
kal mein aur aaj mein
apne KHarch par hain qaid
log tere raj mein
aadmi hai wo baDa
dar pe jo rahe paDa
jo panah mang le
us ki baKHsh de KHata
main ne us se ye kaha
har wazir har safir
be-nazir hai mushir
wah kya jawab hai
tere zehn ki qasam
KHub intiKHab hai
jagti hai afsari
qaum mahw-e-KHwab hai
ye tera wazir-KHan
de raha hai jo bayan
paDh ke un ko har koi
kah raha hai marhaba
main ne us se ye kaha
chin apna yar hai
us pe jaan-nisar hai
par wahan hai jo nizam
us taraf na jaiyo
us ko dur se salam
das karoD ye gadhe
jin ka nam hai awam
kya banenge hukmaran
tu yaqin hai ye guman
apni to dua hai ye
sadr tu rahe sada
main ne us se ye kaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.