nazm
tū kisī aur hī duniyā meñ milī thī mujh se
tū kisī aur hī manzar kī mahak laa.ī thī
Dar rahā thā ki kahīñ zaḳhm na bhar jaa.eñ mire
aur tū muTThiyāñ bhar bhar ke namak laa.ī thī
aur hī tarh kī āñkheñ thiiñ tire chehre par
tū kisī aur sitāre se chamak laa.ī thī
terī āvāz hī sab kuchh thī mujhe monis-e-jāñ
kyā karūñ maiñ ki tū bolī hī bahut kam mujh se
terī chup se hī ye mahsūs kiyā thā maiñ ne
jiit jā.egā kisī roz tirā ġham mujh se
shahr āvāzeñ lagātā thā magar tū chup thī
ye ta'alluq mujhe khātā thā magar tū chup thī
vahī anjām thā jo 'ishq kā āġhāz se hai
tujh ko paayā bhī nahīñ thā ki tujhe khonā thā
chalī aatī hai yahī rasm ka.ī sadiyoñ se
yahī hotā hai yahī hogā yahī honā thā
pūchhtā rahtā thā tujh se ki batā kyā dukh hai
aur mirī aañkh meñ aañsū bhī nahīñ hote the
maiñ ne andāze lagā.e ki sabab kyā hogā
par mire tiir tarāzū bhī nahīñ hote the
jis kā Dar thā mujhe mā'lūm paḌā logoñ se
phir vo ḳhush-baḳht palaT aaya tirī duniyā meñ
jis ke jaane pe mujhe tū ne jagah dī dil meñ
merī qismat meñ hī jab ḳhālī jagah likkhī thī
tujh se shikva bhī agar kartā to kaise kartā
maiñ vo sabza thā jise rauñd diyā jaatā hai
maiñ vo jangal thā jise kaaT diyā jaatā hai
maiñ vo dar thā jise dastak kī kamī khātī hai
maiñ vo manzil thā jahāñ TuuTī saḌak jaatī hai
maiñ vo ghar thā jise ābād nahīñ kartā koī
maiñ to vo thā ki jise yaad nahīñ kartā koī
ḳhair is baat ko tū chhoḌ batā kaisī hai
tū ne chāhā thā jise vo tire nazdīk to hai
kaun se ġham ne tujhe chaaT liyā andar se
āj-kal phir se tū chup rahtī hai sab Thiik to hai
tu kisi aur hi duniya mein mili thi mujh se
tu kisi aur hi manzar ki mahak lai thi
Dar raha tha ki kahin zaKHm na bhar jaen mere
aur tu muTThiyan bhar bhar ke namak lai thi
aur hi tarh ki aankhen thin tere chehre par
tu kisi aur sitare se chamak lai thi
teri aawaz hi sab kuchh thi mujhe monis-e-jaan
kya karun main ki tu boli hi bahut kam mujh se
teri chup se hi ye mahsus kiya tha main ne
jit jaega kisi roz tera gham mujh se
shahr aawazen lagata tha magar tu chup thi
ye ta'alluq mujhe khata tha magar tu chup thi
wahi anjam tha jo 'ishq ka aaghaz se hai
tujh ko paya bhi nahin tha ki tujhe khona tha
chali aati hai yahi rasm kai sadiyon se
yahi hota hai yahi hoga yahi hona tha
puchhta rahta tha tujh se ki bata kya dukh hai
aur meri aankh mein aansu bhi nahin hote the
main ne andaze lagae ki sabab kya hoga
par mere tir taraazu bhi nahin hote the
jis ka Dar tha mujhe ma'lum paDa logon se
phir wo KHush-baKHt palaT aaya teri duniya mein
jis ke jaane pe mujhe tu ne jagah di dil mein
meri qismat mein hi jab KHali jagah likkhi thi
tujh se shikwa bhi agar karta to kaise karta
main wo sabza tha jise raund diya jata hai
main wo jangal tha jise kaT diya jata hai
main wo dar tha jise dastak ki kami khati hai
main wo manzil tha jahan TuTi saDak jati hai
main wo ghar tha jise aabaad nahin karta koi
main to wo tha ki jise yaad nahin karta koi
KHair is baat ko tu chhoD bata kaisi hai
tu ne chaha tha jise wo tere nazdik to hai
kaun se gham ne tujhe chaT liya andar se
aaj-kal phir se tu chup rahti hai sab Thik to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.