nazm
mohabbat pesh-qadmī kartī hai
aur apnī fauj meñ
kisī sipāhī ko bhartī nahīñ kartī
kisī tank ko apne saath nahīñ rakhtī
koī baktar-band gaaḌī yā top-ḳhāna
apnī hifāzat ke liye istimāl nahīñ kartī
kisī tayyāre se
maidān-e-jañg kā jā.eza nahīñ letī
mohabbat pesh-qadmī kartī hai
aur saarī duniyā ke tiir
zahr meñ bujhā liye jaate haiñ
saare neza-bāz
ghaat lagā ke baiTh jaate haiñ
saarī talvāreñ
niyām se bāhar aa jaatī haiñ
use apnī Tāpoñ tale rauñdne ke liye
shah-savār tayyār ho jaate haiñ
bādshāhoñ kā ġhussa
kaalī āñdhī ban ke
us taraf baḌhne lagtā hai
apne dil pe haath rakh ke
mohabbat pesh-qadmī kartī hai
aur us kā jahāz
kabhī ġharq nahīñ hotā
us kā aslaha kabhī ḳhatm nahīñ hotā
mohabbat kī hamesha jaarī rahne vaalī
ye pesh-qadmī koī rok nahīñ paatā
thak-hār ke us ke saath saath chalne lagtā hai
mohabbat pesh-qadmi karti hai
aur apni fauj mein
kisi sipahi ko bharti nahin karti
kisi tank ko apne sath nahin rakhti
koi baktar-band gaDi ya top-KHana
apni hifazat ke liye istimal nahin karti
kisi tayyare se
maidan-e-jang ka jaeza nahin leti
mohabbat pesh-qadmi karti hai
aur sari duniya ke tir
zahr mein bujha liye jate hain
sare neza-baz
ghat laga ke baiTh jate hain
sari talwaren
niyam se bahar aa jati hain
use apni Tapon tale raundne ke liye
shah-sawar tayyar ho jate hain
baadshahon ka ghussa
kali aandhi ban ke
us taraf baDhne lagta hai
apne dil pe hath rakh ke
mohabbat pesh-qadmi karti hai
aur us ka jahaz
kabhi gharq nahin hota
us ka aslaha kabhi KHatm nahin hota
mohabbat ki hamesha jari rahne wali
ye pesh-qadmi koi rok nahin pata
thak-haar ke us ke sath sath chalne lagta hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 747)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.