nusKHa-e-ulfat meraa
gar kisī taur har ik ulfat-e-jānāñ kā ḳhayāl
sher meñ Dhal ke sanā-e-ruḳh-e-jānāñ na bane
phir to yuuñ ho ki mire sher-o-suḳhan kā daftar
tuul meñ tūl-e-shab-e-hijr kā afsāna bane
hai bahut tishna magar nusḳha-e-ulfat merā
is sabab se ki har ik lamha-e-fursat merā
dil ye kahtā hai ki ho qurbat-e-jānāñ meñ basar
gar kisi taur har ek ulfat-e-jaanan ka KHayal
sher mein Dhal ke sana-e-ruKH-e-jaanan na bane
phir to yun ho ki mere sher-o-suKHan ka daftar
tul mein tul-e-shab-e-hijr ka afsana bane
hai bahut tishna magar nusKHa-e-ulfat mera
is sabab se ki har ek lamha-e-fursat mera
dil ye kahta hai ki ho qurbat-e-jaanan mein basar
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 478)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.