qatre
hameñ kaun bachā.egā
agar kabhī hamārī jebeñ
ḳhālī karāne kī koshish kī ga.ī
agar kabhī hamārī uñgliyoñ ke darmiyān
pencil rakh kar aur unheñ dabā dabā kar
kuchh pūchhne kī zarūrat mahsūs hotī
to ham kyā batā.eñge
yahī ki ham ne kabhī chand khoTe sikkoñ
chamḌe meñ chhupe tāvīz
aur khajūr kī guThliyoñ ke sivā
zamīn meñ kuchh nahīñ dabāyā
yā ye ki hamārī almārī ke ḳhānoñ meñ
mansūḳh-shuda passport
chand ḳhāndānī albamoñ
aur aqiiq kī añgūThiyoñ ke sivā
kuchh maujūd nahīñ
magar ye hamārā ḳhayāl hai sirf ḳhayāl
hameñ kuchh nahīñ hogā
aur agar kuchh huā
to hamāre dost daraḳht hameñ
apne saa.e meñ le leñge
jin bādaloñ kī tashkīl meñ
hamāre aañsū shāmil haiñ
hameñ saath le jā.eñge
aur nīche nahīñ girne deñ
agar kabhī be-dhyānī ke aalam meñ
ham nīche shahr meñ gire bhī
to hamārī jeboñ se
chhoTe chhoTe sitāroñ ber bahūTiyoñ
aur bārish ke qatroñ ke sivā
kuchh barāmad na hogā
hamein kaun bachaega
agar kabhi hamari jeben
KHali karane ki koshish ki gai
agar kabhi hamari ungliyon ke darmiyan
pencil rakh kar aur unhen daba daba kar
kuchh puchhne ki zarurat mahsus hoti
to hum kya bataenge
yahi ki hum ne kabhi chand khoTe sikkon
chamDe mein chhupe tawiz
aur khajur ki guThliyon ke siwa
zamin mein kuchh nahin dabaya
ya ye ki hamari almari ke KHanon mein
mansuKH-shuda passport
chand KHandani albamon
aur aqiq ki anguThiyon ke siwa
kuchh maujud nahin
magar ye hamara KHayal hai sirf KHayal
hamein kuchh nahin hoga
aur agar kuchh hua
to hamare dost daraKHt hamein
apne sae mein le lenge
jin baadalon ki tashkil mein
hamare aansu shamil hain
hamein sath le jaenge
aur niche nahin girne den
agar kabhi be-dhyani ke aalam mein
hum niche shahr mein gire bhi
to hamari jebon se
chhoTe chhoTe sitaron ber bahuTiyon
aur barish ke qatron ke siwa
kuchh baramad na hoga
- Book : saarii nazmen (Pg. 398)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.