railway line par mor
railway line par
mor so rahā hai
tez raftār train
yahāñ se mat guzro
line-man se kaho
kāñTā badal de
tumhārā rāsta tabdīl ho jā.egā
yā phir ek surḳh lālTain
railway line ke saath rakh de
kisī na kisī tarah
tumheñ rok le
railway line par mor so rahā hai
use is ke ḳhvāb se bāhar mat nikālo
vo apne ḳhvāb meñ
kisī na.e bādshāh kī tarah
pahlī baar gardan uThā ke chal chal rahā hai
us kī saltanat
us ke paroñ kī tarah rañgoñ se bharī
aur khulī huī hai
use be-rañg mat karo
use mat ujāḌo
us kī bādshāhat kā ḳhātma
itnī jaldī mat karo
agar hamāre āñsuoñ kī
koī qīmat nahīñ hai
tab bhī hamāre saare aañsū
hamesha ke liye apne paas rakh lo
hamāre mor kī niiñd
us kī besh-qīmat niiñd
us ke paroñ kī yakjā.ī
hamāre kitnī aham hai
tumheñ nahīñ ma.alūm
tez raftār train
ye sab kuchh ham se mat chhīno
railway line par mor ko sone do
vo hamesha soyā nahīñ rahegā
raat bhar ke liye use sone do
agar tum ne us ke paroñ ko
bikher diyā
to hamārī zindagī meñ logoñ
aur chīzoñ kī tartīb
ḳhatm ho jā.egī
hamārī āñkhoñ meñ maujūd
mohabbat kī āḳhirī chamak ḳhatm ho jā.egī
hamāre diloñ se rañg uḌ jā.eñge
railway line par
us ke paroñ ko mat bikhero
varna jo bhī unheñ uThā.egā
is kī uñgliyoñ meñ umr bhar
kāñTe chubhte raheñge
is kī āñkhoñ meñ hamesha
sūiyāñ bharī raheñgī
ye par Diary meñ rakhne ke
yā laḌkiyoñ ke liye
pañkhe banāne ke kaam nahīñ aate
agar ek baar mor ke par
yā us kī niiñd bikhar jaa.e
to hameñ aur tumheñ tez raftār train
koī nahīñ chalne degā
zinda bhī nahīñ rahne degā
railway line par nahīñ sone degā
railway line par
mor so raha hai
tez raftar train
yahan se mat guzro
line-man se kaho
kanTa badal de
tumhaara rasta tabdil ho jaega
ya phir ek surKH lalTain
railway line ke sath rakh de
kisi na kisi tarah
tumhein rok le
railway line par mor so raha hai
use is ke KHwab se bahar mat nikalo
wo apne KHwab mein
kisi nae baadshah ki tarah
pahli bar gardan uTha ke chal chal raha hai
us ki saltanat
us ke paron ki tarah rangon se bhari
aur khuli hui hai
use be-rang mat karo
use mat ujaDo
us ki baadshahat ka KHatma
itni jaldi mat karo
agar hamare aansuon ki
koi qimat nahin hai
tab bhi hamare sare aansu
hamesha ke liye apne pas rakh lo
hamare mor ki nind
us ki besh-qimat nind
us ke paron ki yakjai
hamare kitni aham hai
tumhein nahin malum
tez raftar train
ye sab kuchh hum se mat chhino
railway line par mor ko sone do
wo hamesha soya nahin rahega
raat bhar ke liye use sone do
agar tum ne us ke paron ko
bikher diya
to hamari zindagi mein logon
aur chizon ki tartib
KHatm ho jaegi
hamari aankhon mein maujud
mohabbat ki aaKHiri chamak KHatm ho jaegi
hamare dilon se rang uD jaenge
railway line par
us ke paron ko mat bikhero
warna jo bhi unhen uThaega
is ki ungliyon mein umr bhar
kanTe chubhte rahenge
is ki aankhon mein hamesha
suiyan bhari rahengi
ye par Diary mein rakhne ke
ya laDkiyon ke liye
pankhe banane ke kaam nahin aate
agar ek bar mor ke par
ya us ki nind bikhar jae
to hamein aur tumhein tez raftar train
koi nahin chalne dega
zinda bhi nahin rahne dega
railway line par nahin sone dega
- Book : saarii nazmen (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.