rishte ki sachchai
Interesting Fact
Written in the context of Rakhi festival
ham jānte haiñ
ye duniyā hameñ jiine nahīñ degī
fāsle kī dīvāreñ
ham donoñ ke darmiyān
baḌhtī raheñgī
ye kaisā rishta hai
ham donoñ apne apne ehsāsāt se vāqif haiñ
magar ye rasm-o-rivāj
aadmī se aadmī kī tafrīq ke...
ham donoñ mahz apnī āñkhoñ ke alāva
ek dūsre ko chhū nahīñ sakte
āb-e-zam-zam yā gañgā-jal
ek rañg, ek ḳhumār aur ek ehsās
kyuuñ na ham donoñ
ek āfāqī rishte se
munsalik ho jaa.eñ
aise rishte se
ki jahāñ talvāreñ jhuk jaatī haiñ
aur añgāre ban jaate haiñ phuul
aur niilā āsmān muskurā uThtā hai
aao aaj
tum merī kalā.ī meñ ye rākhī bāñdh do
ham donoñ apnī apnī
anokhī chāhat ke havāle se
ban jaa.eñ janm janm ke sāthī
aTuuT ho jā.eñge jab
phir shāyad zamāna uñglī nahīñ uThā sakegā!!
hum jaante hain
ye duniya hamein jine nahin degi
fasle ki diwaren
hum donon ke darmiyan
baDhti rahengi
ye kaisa rishta hai
hum donon apne apne ehsasat se waqif hain
magar ye rasm-o-riwaj
aadmi se aadmi ki tafriq ke
hum donon mahz apni aankhon ke alawa
ek dusre ko chhu nahin sakte
aab-e-zam-zam ya ganga-jal
ek rang, ek KHumar aur ek ehsas
kyun na hum donon
ek aafaqi rishte se
munsalik ho jaen
aise rishte se
ki jahan talwaren jhuk jati hain
aur angare ban jate hain phul
aur nila aasman muskura uThta hai
aao aaj
tum meri kalai mein ye rakhi bandh do
hum donon apni apni
anokhi chahat ke hawale se
ban jaen janm janm ke sathi
aTuT ho jaenge jab
phir shayad zamana ungli nahin uTha sakega!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.