aawaz-e-adam
dabegī kab talak āvāz-e-ādam ham bhī dekheñge
rukeñge kab talak jazbāt-e-barham ham bhī dekheñge
chalo yūñhī sahī ye jaur-e-paiham ham bhī dekheñge
dar-e-zindāñ se dekheñ yā urūj-e-dār se dekheñ
tumheñ rusvā sar-e-bāzār-e-ālam ham bhī dekheñge
zarā dam lo ma.āl-e-shaukat-e-jam ham bhī dekheñge
ye zo.am-e-quvvat-e-faulād-o-āhan dekh lo tum bhī
ba-faiz-e-jazba-e-īmān-e-mohkam ham bhī dekheñge
jabīn-e-kaj-kulāhī ḳhaak par ḳham ham bhī dekheñge
mukāfāt-e-amal tārīḳh-e-insāñ kī rivāyat hai
karoge kab talak nāvak farāham ham bhī dekheñge
kahāñ tak hai tumhāre zulm meñ dam ham bhī dekheñge
ye hañgām-e-vidā-e-shab hai ai zulmat ke farzando
sahar ke dosh par gulnār parcham ham bhī dekheñge
tumheñ bhī dekhnā hogā ye aalam ham bhī dekheñge
dabegi kab talak aawaz-e-adam hum bhi dekhenge
rukenge kab talak jazbaat-e-barham hum bhi dekhenge
chalo yunhi sahi ye jaur-e-paiham hum bhi dekhenge
dar-e-zindan se dekhen ya uruj-e-dar se dekhen
tumhein ruswa sar-e-bazar-e-alam hum bhi dekhenge
zara dam lo maal-e-shaukat-e-jam hum bhi dekhenge
ye zoam-e-quwwat-e-faulad-o-ahan dekh lo tum bhi
ba-faiz-e-jazba-e-iman-e-mohkam hum bhi dekhenge
jabin-e-kaj-kulahi KHak par KHam hum bhi dekhenge
mukafat-e-amal tariKH-e-insan ki riwayat hai
karoge kab talak nawak faraham hum bhi dekhenge
kahan tak hai tumhaare zulm mein dam hum bhi dekhenge
ye hangam-e-wida-e-shab hai ai zulmat ke farzando
sahar ke dosh par gulnar parcham hum bhi dekhenge
tumhein bhi dekhna hoga ye aalam hum bhi dekhenge
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 137)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.