rome
maiñ jānñā chāhtā huuñ
jab rome jal rahā thā
tab vahāñ kaun kaun log maujūd the
kis shaḳhs ke kaan bāñsurī kī āvāz par lage hue the
aur kis shaḳhs kī āñkheñ
aag kī raushnī meñ chamak rahī thiiñ
maiñ jānñā chāhtā huuñ
kaun log nero kī nai-navāzī kī daad de rahe the
aur kaun aag ke sho.aloñ ko havā
kitne ārām-deh ghar is aag kī nazr ho ga.e
kitnī ālī-shān imārateñ
raakh kā Dher ban ga.iiñ
kitne logoñ kī haDDiyāñ
surme kī tarah bikhar ga.iiñ
kitne dilkash badan
mom-battī kī tarah pighal ga.e
kitne razmiya Darāme
kitne alamiya naġhme
māyūsī aur mohabbat ke kitne giit
dil āvezī aur ummīd ke kitne naqsh
nīst-o-nābūd ho ga.e
aag kī vahshat se ghabrā kar
kitne ḳhvāb safha-e-hastī se miT ga.e
rome kī is tabāhī kā record
maiñ chāhtā huuñ mujhe mil jaa.e
yā kahīñ se un logoñ imāratoñ
aur chīzoñ kī fihrist hī dastiyāb ho jaa.e
jo hamesha ke liye is aag meñ talaf ho ga.iiñ
yā phir itnī sī baat ma.alūm ho jaa.e
jab ye aag lagī to
kaun kaun nero ke saath thā
aur kaun kaun rome ke
main jaanna chahta hun
jab rome jal raha tha
tab wahan kaun kaun log maujud the
kis shaKHs ke kan bansuri ki aawaz par lage hue the
aur kis shaKHs ki aankhen
aag ki raushni mein chamak rahi thin
main jaanna chahta hun
kaun log nero ki nai-nawazi ki dad de rahe the
aur kaun aag ke shoalon ko hawa
kitne aaram-deh ghar is aag ki nazr ho gae
kitni aali-shan imaraten
rakh ka Dher ban gain
kitne logon ki haDDiyan
surme ki tarah bikhar gain
kitne dilkash badan
mom-batti ki tarah pighal gae
kitne razmiya Darame
kitne alamiya naghme
mayusi aur mohabbat ke kitne git
dil aawezi aur ummid ke kitne naqsh
nist-o-nabud ho gae
aag ki wahshat se ghabra kar
kitne KHwab safha-e-hasti se miT gae
rome ki is tabahi ka record
main chahta hun mujhe mil jae
ya kahin se un logon imaraton
aur chizon ki fihrist hi dastiyab ho jae
jo hamesha ke liye is aag mein talaf ho gain
ya phir itni si baat malum ho jae
jab ye aag lagi to
kaun kaun nero ke sath tha
aur kaun kaun rome ke
- Book : saarii nazmen (Pg. 333)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.