sal-e-nau
ye kis ne phone pe dī sāl-e-nau kī tahniyat mujh ko
tamannā raqs kartī hai taḳhayyul gungunātā hai
tasavvur ik na.e ehsās kī jannat meñ le aayā
nigāhoñ meñ koī rañgīn chehra muskurātā hai
jabīñ kī chhūT paḌtī hai falak ke māh-pāroñ par
ziyā phailī huī hai saarā aalam jagmagātā hai
shafaq ke nuur se raushan haiñ mehrābeñ fazāoñ kī
surayyā kī jabīñ zohra kā aariz timtimātā hai
purāne saal kī ThiThurī huī parchhā.iyāñ simTīñ
na.e din kā nayā sūraj ufuq par uThtā aatā hai
zamīñ ne phir na.e sar se nayā raḳht-e-safar bāñdhā
ḳhushī meñ har qadam par āftāb āñkheñ bichhātā hai
hazāroñ ḳhvāhisheñ añgḌā.iyāñ letī haiñ siine meñ
jahān-e-ārzū kā zarra zarra gungunātā hai
umīdeñ Daal kar āñkhoñ meñ āñkheñ muskurātī haiñ
zamāna jumbish-e-mizhgāñ se afsāne sunātā hai
masarrat ke javāñ mallāh kashtī le ke nikle haiñ
ġhamoñ ke nā-ḳhudāoñ kā safīna Dagmagātā hai
ḳhushī mujh ko bhī hai lekin maiñ ye mahsūs kartā huuñ
masarrat ke is ā.īñe meñ ġham bhī jhilmilātā hai
hamāre daur-e-mahkūmī kī muddat ghaTtī jaatī hai
ġhulāmī ke zamāne meñ izāfa hotā jaatā hai
yahī andāz gar baaqī haiñ apnī sust-gāmī ke
na jaane aur kitne saal ā.eñge ġhulāmī ke
ye kis ne phone pe di sal-e-nau ki tahniyat mujh ko
tamanna raqs karti hai taKHayyul gungunata hai
tasawwur ek nae ehsas ki jannat mein le aaya
nigahon mein koi rangin chehra muskuraata hai
jabin ki chhuT paDti hai falak ke mah-paron par
ziya phaili hui hai sara aalam jagmagata hai
shafaq ke nur se raushan hain mehraben fazaon ki
surayya ki jabin zohra ka aariz timtimata hai
purane sal ki ThiThuri hui parchhaiyan simTin
nae din ka naya suraj ufuq par uThta aata hai
zamin ne phir nae sar se naya raKHt-e-safar bandha
KHushi mein har qadam par aaftab aankhen bichhata hai
hazaron KHwahishen angDaiyan leti hain sine mein
jahan-e-arzu ka zarra zarra gungunata hai
umiden Dal kar aankhon mein aankhen muskuraati hain
zamana jumbish-e-mizhgan se afsane sunata hai
masarrat ke jawan mallah kashti le ke nikle hain
ghamon ke na-KHudaon ka safina Dagmagata hai
KHushi mujh ko bhi hai lekin main ye mahsus karta hun
masarrat ke is aaine mein gham bhi jhilmilata hai
hamare daur-e-mahkumi ki muddat ghaTti jati hai
ghulami ke zamane mein izafa hota jata hai
yahi andaz gar baqi hain apni sust-gami ke
na jaane aur kitne sal aaenge ghulami ke
- Book : Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri(Vol-I) (Pg. 75)
- Author : Ali Ahmad Fatma
- Publication : Qaumi Council Barai Farog Urdu Zaban New Delhi (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.