Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa jaana

MORE BYRajendra Nath Rahbar

    fazā meñ dard-āgīñ giit lahrā.e to aa jaanā

    sukūt-e-shab meñ koī aah tharrā.e to aa jaanā

    jahāñ zarra zarra yaas barsā.e to aa jaanā

    dar-o-dīvār par andoh chhā jaa.e to aa jaanā

    samajh lenā koī ro ro ke tujh ko yaad kartā hai

    samajh lenā koī ġham jahāñ ābād kartā hai

    koī taqdīr maarā huā fariyād kartā hai

    tirī āñkhoñ meñ ashk-e-ġham utar aa.e to aa jaanā

    diloñ ko gudgudā.e jab tarannum ābshāroñ

    ghaTā barsāt jab chuum le muñh kohsāroñ

    mulāqātoñ ke jab din hoñ zamāna ho bahāroñ

    bahār-e-gul mulāqātoñ pe uksā.e to aa jaanā

    zamāna mushkiloñ ke jaal phailā.e to phailā.e

    qadam baḌhte raheñ be-dard duniyā laakh bahkā.e

    samajhte haiñ kahīñ dīvāngān-e-ishq samjhā.e

    tire hoñToñ pe merā naam aa jaa.e to aa jaanā

    jhaḌī barsāt jab aag tan man meñ lagātī ho

    guloñ ko bulbul-e-nāshād hāl-e-dil sunātī ho

    koī birhan kisī yaad meñ aañsū bahātī ho

    agar aise meñ terā dil dhaḌak jaa.e to aa jaanā

    faza mein dard-agin git lahrae to aa jaana

    sukut-e-shab mein koi aah tharrae to aa jaana

    jahan ka zarra zarra yas barsae to aa jaana

    dar-o-diwar par andoh chha jae to aa jaana

    samajh lena koi ro ro ke tujh ko yaad karta hai

    samajh lena koi gham ka jahan aabaad karta hai

    koi taqdir ka mara hua fariyaad karta hai

    teri aankhon mein ashk-e-gham utar aae to aa jaana

    dilon ko gudgudae jab tarannum aabshaaron ka

    ghaTa barsat ki jab chum le munh kohsaron ka

    mulaqaton ke jab din hon zamana ho bahaaron ka

    bahaar-e-gul mulaqaton pe uksae to aa jaana

    zamana mushkilon ke jal phailae to phailae

    qadam baDhte rahen be-dard duniya lakh bahkae

    samajhte hain kahin diwangan-e-ishq samjhae

    tere honTon pe mera nam aa jae to aa jaana

    jhaDi barsat ki jab aag tan man mein lagati ho

    gulon ko bulbul-e-nashad haal-e-dil sunati ho

    koi birhan kisi ki yaad mein aansu bahati ho

    agar aise mein tera dil dhaDak jae to aa jaana

    Source :
    • Book : Yad aaunga (Pg. 162)
    • Author : Rajindr Nath Raj
    • Publication : Print Well Industrial Focal Point, Amritsar (2008)
    • Edition : 2008

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now