samundar
mirā dil uchhaltā samundar
mirā jazba-e-be-amāñ
merā ek ek armāñ
uchhalte samundar kī sadiyoñ purānī chaTTānoñ se Takrā ke yuuñ reza reza huā hai
ki ghāyal samundar ke siine meñ mahshar bapā hai
har ik mauj dard-āshnā hai
har ik qatra-e-āb anmol hai gauhar-e-be-bahā hai
maiñ hastī ke sāhil kā mab.hūt-o-hairāñ musāfir
mire zard chehre pe jamtī huī ret
merā saraktā huā jism
sab kī nigāhoñ kā markaz banā hai
magar koī aisā nahīñ
koī bhī to nahīñ
jo mirī munjamid gahrī jhīloñ se guzre
mire dil ke qulzum meñ utre
jahāñ kī har ik mauj dard-āshnā hai
har ik qatra-e-āb anmol hai gauhar-e-be-bahā hai
jahāñ ruuh tan se judā hai
azal ke musāfir kī manzil abad hai baqā hai
mera dil uchhalta samundar
mera jazba-e-be-aman
mera ek ek arman
uchhalte samundar ki sadiyon purani chaTTanon se Takra ke yun reza reza hua hai
ki ghayal samundar ke sine mein mahshar bapa hai
har ek mauj dard-ashna hai
har ek qatra-e-ab anmol hai gauhar-e-be-baha hai
main hasti ke sahil ka mabhut-o-hairan musafir
mere zard chehre pe jamti hui ret
mera sarakta hua jism
sab ki nigahon ka markaz bana hai
magar koi aisa nahin
koi bhi to nahin
jo meri munjamid gahri jhilon se guzre
mere dil ke qulzum mein utre
jahan ki har ek mauj dard-ashna hai
har ek qatra-e-ab anmol hai gauhar-e-be-baha hai
jahan ruh tan se juda hai
azal ke musafir ki manzil abad hai baqa hai
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-260 p-248)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.