shaer-e-azam
ḳhabt mujh ko shā.erī kā jab huā
das minute meñ saaTh ġhazleñ kah gayā
sab se ro ro kar kahā sun lo ġhazal
taaki maiñ ho jā.ūñ phir se normal
rahm apnoñ ko na aayā jab zarā
to pareshāñ ho ke hotel meñ gayā
taaki mil jaa.e ik aisā aadmī
chaa.e pī kar jo sune ġhazleñ mirī
jā ke baiThā saat ghanTe jab vahāñ
ik muazzaz shaḳhs aa.e nā-gahāñ
dekhte hī ho gayā dil baaġh baaġh
ab to hogā peT halkā aur dimāġh
ba.ad-az-ādāb aur taslīm ke
maiñ ne un se ye kahā ta.azīm se
aa.i.e taklīf itnī kījiye
chaa.e mere saath hī pī lījiye
aa ke baiThe saath jab kī iltijā
aap kā jo hukm ho mangvāoñgā
muskurā kar phir to bole āñ-janāb
murġh yaḳhnī qorma nargis kabāb
shīrmāl o shāhī TukḌā fernī
aur agar mil jaa.e to chūran koī
toss makkhan duudh kaafī rā.ita
al-ġharaz jo kuchh kahā mañgvā liyā
naak tak jab khā chuke maiñ ne kahā
ho ta.āruf ab hamārā aap kā
naam hai 'asrār' merā mohtaram
saarī duniyā jāntī hai besh-o-kam
shā.er-e-āzam huuñ maiñ izzat-ma.āb
vo ye bole maiñ to bahrā huuñ janāb
KHabt mujh ko shaeri ka jab hua
das minute mein saTh ghazlen kah gaya
sab se ro ro kar kaha sun lo ghazal
taki main ho jaun phir se normal
rahm apnon ko na aaya jab zara
to pareshan ho ke hotel mein gaya
taki mil jae ek aisa aadmi
chae pi kar jo sune ghazlen meri
ja ke baiTha sat ghanTe jab wahan
ek muazzaz shaKHs aae na-gahan
dekhte hi ho gaya dil bagh bagh
ab to hoga peT halka aur dimagh
baad-az-adab aur taslim ke
main ne un se ye kaha tazim se
aaie taklif itni kijiye
chae mere sath hi pi lijiye
aa ke baiThe sath jab ki iltija
aap ka jo hukm ho mangwaonga
muskura kar phir to bole aan-janab
murgh yaKHni qorma nargis kabab
shirmal o shahi TukDa ferni
aur agar mil jae to churan koi
toss makkhan dudh kafi raita
al-gharaz jo kuchh kaha mangwa liya
nak tak jab kha chuke main ne kaha
ho taaruf ab hamara aap ka
nam hai 'asrar' mera mohtaram
sari duniya jaanti hai besh-o-kam
shaer-e-azam hun main izzat-maab
wo ye bole main to bahra hun janab
- Book : shair-e-aazam (Pg. 55)
- Author : Asrar Jaamayee
- Publication : maktaba jamia limited (1996)
- Edition : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.