sheri ka nauha
mujhe aaj phir
apne paas se
murda gosht kī bū aa rahī hai
mirī kokh ek baar phir
ḳhuun ke āñsuoñ se
paak kar dī ga.ī hai
aur havā se
loriyoñ kī pahlī chīḳh chhīn ke
merī āvāz meñ dafn kar dī ga.ī hai
mere āsmān ne
gahrī niiñd se
chauñkne ke baad
phir se aañkh muuñd lī hai
mere farhād ne
apnā ishq sābit karne ke liye
mere jism se ek
ḳhuun ālūd nahr khod lī hai
mujhe aaj phir
apne pas se
murda gosht ki bu aa rahi hai
meri kokh ek bar phir
KHun ke aansuon se
pak kar di gai hai
aur hawa se
loriyon ki pahli chiKH chhin ke
meri aawaz mein dafn kar di gai hai
mere aasman ne
gahri nind se
chaunkne ke baad
phir se aankh mund li hai
mere farhad ne
apna ishq sabit karne ke liye
mere jism se ek
KHun aalud nahr khod li hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.