shisha ka aadmi
uThāo haath ki dast-e-duā buland kareñ
hamārī umar kā ik aur din tamām huā
ḳhudā kā shukr bajā laa.eñ aaj ke din bhī
na koī vāqi.a guzrā na aisā kaam huā
zabāñ se kalma-e-haq-rāst kuchh kahā jaatā
zamīr jāgtā aur apnā imtihāñ hotā
ḳhudā kā shukr bajā laa.eñ aaj kā din bhī
usī tarah se kaTā muñh-añdhere uTh baiThe
pyālī chaa.e kī pī ḳhabreñ dekhīñ nāshta par
subūt baiThe basīrat kā apnī dete rahe
ba-ḳhair o ḳhūbī palaT aa.e jaise shaam huī
aur agle roz kā mauhūm ḳhauf dil meñ liye
Dare Dare se zarā baal paḌ na jaa.e kahīñ
liye diye yūñhī bistar meñ jā ke leT ga.e
uThao hath ki dast-e-dua buland karen
hamari umar ka ek aur din tamam hua
KHuda ka shukr baja laen aaj ke din bhi
na koi waqia guzra na aisa kaam hua
zaban se kalma-e-haq-rast kuchh kaha jata
zamir jagta aur apna imtihan hota
KHuda ka shukr baja laen aaj ka din bhi
usi tarah se kaTa munh-andhere uTh baiThe
pyali chae ki pi KHabren dekhin nashta par
subut baiThe basirat ka apni dete rahe
ba-KHair o KHubi palaT aae jaise sham hui
aur agle roz ka mauhum KHauf dil mein liye
Dare Dare se zara baal paD na jae kahin
liye diye yunhi bistar mein ja ke leT gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.