sub.h se shaam huī aur hiran mujh ko chhalāve detā
saare jañgal meñ pareshān kiye ghuum rahā hai ab tak
us kī gardan ke bahut paas se guzre haiñ ka.ī tiir mire
vo bhī ab utnā hī hushyār hai jitnā maiñ huuñ
ik jhalak de ke jo gum hotā hai vo peḌoñ meñ
maiñ vahāñ pahuñchūñ to Tiile pe kabhī chashme ke us paar nazar aatā hai
vo nazar rakhtā hai mujh par
maiñ use aañkh se ojhal nahīñ hone detā
kaun dauḌāye hue hai kis ko
kaun ab kis kā shikārī hai pata hī nahīñ chaltā
sub.h utrā thā maiñ jañgal meñ
to sochā thā ki us shoḳh hiran ko
neze kī nok pe parcham kī tarah taan ke maiñ shahr meñ dāḳhil hūñgā
din magar Dhalne lagā hai
dil meñ ik ḳhauf sā ab baiTh rahā hai
ki bil-āḳhir ye hiran hī
mujhe sīñgoñ par uThā.e hue ik ġhaar meñ dāḳhil hogā
subh se sham hui aur hiran mujh ko chhalawe deta
sare jangal mein pareshan kiye ghum raha hai ab tak
us ki gardan ke bahut pas se guzre hain kai tir mere
wo bhi ab utna hi hushyar hai jitna main hun
ek jhalak de ke jo gum hota hai wo peDon mein
main wahan pahunchun to Tile pe kabhi chashme ke us par nazar aata hai
wo nazar rakhta hai mujh par
main use aankh se ojhal nahin hone deta
kaun dauDaye hue hai kis ko
kaun ab kis ka shikari hai pata hi nahin chalta
subh utra tha main jangal mein
to socha tha ki us shoKH hiran ko
neze ki nok pe parcham ki tarah tan ke main shahr mein daKHil hunga
din magar Dhalne laga hai
dil mein ek KHauf sa ab baiTh raha hai
ki bil-aKHir ye hiran hi
mujhe singon par uThae hue ek ghaar mein daKHil hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.