Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahle taam phir kalam

Shaukat Jamal

pahle taam phir kalam

Shaukat Jamal

MORE BYShaukat Jamal

    halqa-e-fikr-o-suḳhan ne mujhe izzat baḳhshī

    ya.anī mehmān ḳhusūsī fazīlat baḳhshī

    masnad-e-ālī pe kar jo biThāyā mujh ko

    qad-e-kotāh ko is taur se rif.at baḳhshī

    fā.eda ye bhī huā aaj is mahfil meñ

    ek duuje se mulāqāt sūrat baḳhshī

    qābil-e-izzat-o-takrīm ḳhvātīn bhī haiñ

    un ke hone ne mirī ruuh ko farhat baḳhshī

    puurā dīvān mausūf sunā baiThe haiñ

    jin ko halqe ne yahāñ aaj nizāmat baḳhshī

    tiis battīs se na the kam yahāñ shā.ir imshab

    sab ko sunñe ḳhudā ne mujhe himmat baḳhshī

    kuchh tarannum se sunāne pe musir the ġhazleñ

    tahat meñ kuchh ne sunā.eñ ye ri.āyat baḳhshī

    dīdanī shā.ir-o-sāme' hai sūrat is dam

    bhuuk ne saare chehroñ ko naqāhat baḳhshī

    sadr-e-mahfil huuñ mamnūn ki is mahfil meñ

    baat apnī bhī kahūñ mujh ko ijāzat baḳhshī

    ham ne maanā abhī aap ko bhī sunñā hai

    masnad-e-ālī ko hazrat ne jo zīnat baḳhshī

    aap tashrīf yahāñ laa.e yahī kaafī hai

    kis qadar aap ne ham sab ko hai izzat baḳhshī

    khānā khulne elaan agar farmā deñ

    ham ye samjheñge ki taqrīr-e-sadārat baḳhshī

    halqa-e-fikr-o-suKHan ne mujhe izzat baKHshi

    yani mehman KHususi ki fazilat baKHshi

    masnad-e-ali pe la kar jo biThaya mujh ko

    qad-e-kotah ko is taur se rifat baKHshi

    faeda ye bhi hua aaj ki is mahfil mein

    ek duje se mulaqat ki surat baKHshi

    qabil-e-izzat-o-takrim KHwatin bhi hain

    un ke hone ne meri ruh ko farhat baKHshi

    pura diwan hi mausuf suna baiThe hain

    jin ko halqe ne yahan aaj nizamat baKHshi

    tis battis se na the kam yahan shair imshab

    sab ko sunne ki KHuda ne mujhe himmat baKHshi

    kuchh tarannum se sunane pe musir the ghazlen

    tahat mein kuchh ne sunaen ye riayat baKHshi

    didani shair-o-same' ki hai surat is dam

    bhuk ne sare hi chehron ko naqahat baKHshi

    sadr-e-mahfil ka hun mamnun ki is mahfil mein

    baat apni bhi kahun mujh ko ijazat baKHshi

    hum ne mana ka abhi aap ko bhi sunna hai

    masnad-e-ali ko hazrat ne jo zinat baKHshi

    aap tashrif yahan lae yahi kafi hai

    kis qadar aap ne hum sab ko hai izzat baKHshi

    khana khulne ka hi elan agar farma den

    hum ye samjhenge ki taqrir-e-sadarat baKHshi

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now