Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tin aawazen

Translated By: Naomi Lazard

Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz

tin aawazen

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    zālim

    jashn hai mātam-e-ummīd aao logo

    marg-e-amboh tyauhār manāo logo

    adam-ābād ko ābād kiyā hai maiñ ne

    tum ko din raat se āzād kiyā hai maiñ ne

    jalva-e-sub.h se kyā māñgte ho

    bistar-e-ḳhvāb se kyā chāhte ho

    saarī āñkhoñ ko tah-e-teġh kiyā hai maiñ ne

    saare ḳhvāboñ galā ghūñT diyā hai maiñ ne

    ab na lahkegī kisī shāḳh pe phūloñ hinā

    fasl-e-gul aa.egī namrūd ke añgār liye

    ab na barsāt meñ barsegī guhar barkhā

    abr aa.egā ḳhas-o-ḳhār ke ambār liye

    merā maslak bhī nayā rāh-e-tarīqat bhī na.ī

    mere qānūñ bhī na.e merī sharī.at bhī na.ī

    ab faqīhān-e-haram dast-e-sanam chūmeñge

    sarv-qad miTTī ke baunoñ ke qadam chūmeñge

    farsh par aaj dar-e-sidq-o-safā band huā

    arsh par aaj har ik bāb-e-duā band huā

    mazlūm

    raat chhā.ī to har ik dard ke dhāre chhūTe

    sub.h phūTī to har ik zaḳhm ke Tāñke TuuTe

    dopahar aa.ī to har rag ne lahū barsāyā

    din Dhalā ḳhauf ifrīt muqābil aayā

    ḳhudā ye mirī gardān-e-shab-o-roz-o-sahar

    ye mirī umr be-manzil o ārām safar

    kyā yahī kuchh mirī qismat meñ likhā hai ne

    har masarrat se mujhe aaq kiyā hai ne

    vo ye kahte haiñ ḳhush-nūd har ik zulm se hai

    vo ye kahte haiñ har ik zulm tire hukm se hai

    gar ye sach hai to tire adl se inkār karūñ?

    un mānūñ ki tirī zaat iqrār karūñ?

    nidā-e-ġhaib

    har ik ūlil-amr ko sadā do

    ki apnī fard-e-amal sambhāle

    uThegā jab jam-e-sarfaroshāñ

    paḌeñge dār-o-rasan ke laale

    koī na hogā ki jo bachā le

    jazā sazā sab yahīñ pe hogī

    yahīñ azaab o savāb hogā

    yahīñ se uTThegā shor-e-mahshar

    yahīñ pe roz-e-hisāb hogā

    The Tyrant

    This is the festival; we will inter hope

    with appropriate mourning. Come, my people.

    We will celebrate the massacre of the multitudes.

    Come, my people.

    I have caused the ghost city known as Limbo

    to be inhabited. I have liberated you

    from night and from day.

    You desire something from dawn's first brushstrokes?

    You make a wish on your bed of dreams?

    I have decreed death to vision;

    all eyes have been excised.

    I have sent all dreams to the gibbet.

    No bough will display its wealth of blossoms.

    The spring that is near will not bring

    the embers of Nimrod's fire.

    This season's beads of rain will not shimmer

    like pearl drops; its clouds

    will cover you with dust and ashes.

    Mine is the new religion, the new morality:

    Mine are the new laws, and a new dogma.

    From now on the priests in God's temple

    will touch their lips to the hands of idols.

    Proud men, tall as Cypress trees, will bend

    to lick the dwarves' feet, and taste the clay:

    On this day all over earth the door

    of beneficent deeds is bolted.

    Every gate of prayer throughout heaven

    is slammed shut today.

    The Slave

    Night comes down; the fountain inside

    every pain is released. Morning arrives;

    the stitches of every wound unravel.

    High noon blazes; all my veins begin to bleed.

    Evening deepens; I come face to face

    with the monster known as fear.

    This is my declension, the chain of hours,

    morning, noon, and night,

    my miserable trudge from eternity to eternity:

    Is it You, oh God of mine,

    who have ordained this for me?

    Is it You who have disinherited me

    from every human pleasure?

    Canon has it that every torture has Your sanction;

    every atrocity is Your commandment.

    You, the Just One-should I denounce Your Judgment?

    Can I accept this canon;

    can I believe that You exist?

    zalim

    jashn hai matam-e-ummid ka aao logo

    marg-e-amboh ka tyauhaar manao logo

    adam-abaad ko aabaad kiya hai main ne

    tum ko din raat se aazad kiya hai main ne

    jalwa-e-subh se kya mangte ho

    bistar-e-KHwab se kya chahte ho

    sari aankhon ko tah-e-tegh kiya hai main ne

    sare KHwabon ka gala ghunT diya hai main ne

    ab na lahkegi kisi shaKH pe phulon ki hina

    fasl-e-gul aaegi namrud ke angar liye

    ab na barsat mein barsegi guhar ki barkha

    abr aaega KHas-o-KHar ke ambar liye

    mera maslak bhi naya rah-e-tariqat bhi nai

    mere qanun bhi nae meri shariat bhi nai

    ab faqihan-e-haram dast-e-sanam chumenge

    sarw-qad miTTi ke baunon ke qadam chumenge

    farsh par aaj dar-e-sidq-o-safa band hua

    arsh par aaj har ek bab-e-dua band hua

    mazlum

    raat chhai to har ek dard ke dhaare chhuTe

    subh phuTi to har ek zaKHm ke Tanke TuTe

    dopahar aai to har rag ne lahu barsaya

    din Dhala KHauf ka ifrit muqabil aaya

    ya KHuda ye meri gardan-e-shab-o-roz-o-sahar

    ye meri umr ka be-manzil o aaram safar

    kya yahi kuchh meri qismat mein likha hai tu ne

    har masarrat se mujhe aaq kiya hai tu ne

    wo ye kahte hain tu KHush-nud har ek zulm se hai

    wo ye kahte hain har ek zulm tere hukm se hai

    gar ye sach hai to tere adl se inkar karun?

    un ki manun ki teri zat ka iqrar karun?

    nida-e-ghaib

    har ek ulil-amr ko sada do

    ki apni fard-e-amal sambhaale

    uThega jab jam-e-sarfaroshan

    paDenge dar-o-rasan ke lale

    koi na hoga ki jo bacha le

    jaza saza sab yahin pe hogi

    yahin azab o sawab hoga

    yahin se uTThega shor-e-mahshar

    yahin pe roz-e-hisab hoga

    The Tyrant

    This is the festival; we will inter hope

    with appropriate mourning. Come, my people.

    We will celebrate the massacre of the multitudes.

    Come, my people.

    I have caused the ghost city known as Limbo

    to be inhabited. I have liberated you

    from night and from day.

    You desire something from dawn's first brushstrokes?

    You make a wish on your bed of dreams?

    I have decreed death to vision;

    all eyes have been excised.

    I have sent all dreams to the gibbet.

    No bough will display its wealth of blossoms.

    The spring that is near will not bring

    the embers of Nimrod's fire.

    This season's beads of rain will not shimmer

    like pearl drops; its clouds

    will cover you with dust and ashes.

    Mine is the new religion, the new morality:

    Mine are the new laws, and a new dogma.

    From now on the priests in God's temple

    will touch their lips to the hands of idols.

    Proud men, tall as Cypress trees, will bend

    to lick the dwarves' feet, and taste the clay:

    On this day all over earth the door

    of beneficent deeds is bolted.

    Every gate of prayer throughout heaven

    is slammed shut today.

    The Slave

    Night comes down; the fountain inside

    every pain is released. Morning arrives;

    the stitches of every wound unravel.

    High noon blazes; all my veins begin to bleed.

    Evening deepens; I come face to face

    with the monster known as fear.

    This is my declension, the chain of hours,

    morning, noon, and night,

    my miserable trudge from eternity to eternity:

    Is it You, oh God of mine,

    who have ordained this for me?

    Is it You who have disinherited me

    from every human pleasure?

    Canon has it that every torture has Your sanction;

    every atrocity is Your commandment.

    You, the Just One-should I denounce Your Judgment?

    Can I accept this canon;

    can I believe that You exist?

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 636)

      • Edition: 2009
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now