tur
yahīñ kī thī mohabbat ke sabaq kī ibtidā maiñ ne
yahīñ kī jur.at-e-iz.hār-e-harf-e-mudda.ā maiñ ne
yahīñ dekhe the ishva-e-nāz o andāz-e-hayā maiñ ne
yahīñ pahle sunī thī dil dhaḌakne kī sadā maiñ ne
yahīñ khetoñ meñ paanī ke kināre yaad hai ab bhī
diloñ meñ azhdahām-e-ārzū lab band rahte the
nazar se guftugū hotī thī dam ulfat kā bharte the
na māthe par shikan hotī na jab tevar badalte the
ḳhudā bhī muskurā detā thā jab ham pyaar karte the
yahīñ khetoñ meñ paanī ke kināre yaad hai ab bhī
vo kyā aatā ki goyā daur meñ jām-e-sharāb aatā
vo kyā aatā rañgīlī rāgnī rañgīñ raubāb aatā
mujhe rañgīniyoñ meñ rañgne vo rañgīñ sahāb aatā
laboñ kī mai pilāne jhūmtā mast shabāb aatā
yahīñ khetoñ meñ paanī ke kināre yaad hai ab bhī
hayā ke bojh se jab har qadam par laġhzisheñ hotīñ
fazā meñ muntashir rañgīñ badan kī larzisheñ hotīñ
raubāb-e-dil ke tāroñ meñ musalsal juñbisheñ hotīñ
ḳhifā-e-rāz kī pur-lutf bāham koshisheñ hotīñ
yahīñ khetoñ meñ paanī ke kināre yaad hai ab bhī
bahe jaate the baiThe ishq ke zarrīñ safīne meñ
tamannāoñ kā tūfāñ karvaTeñ letā thā siine meñ
jo chhū letā maiñ us ko vo nahā jaatā pasīne meñ
mai-e-do-ātisha ke se maze aate the jiine meñ
yahīñ khetoñ meñ paanī ke kināre yaad hai ab bhī
balā-e-fikr-e-fardā ham se kosoñ duur hotī thī
surūr-e-sarmadī se zindagī ma.amūr hotī thī
hamārī ḳhalvat-e-ma.asūm rashk-e-tūr hotī thī
malak jhūlā jhulāte the ġhazal-ḳhvāñ huur hotī thī
yahīñ khetoñ meñ paanī ke kināre yaad hai ab bhī
na ab vo khet baaqī haiñ na vo āb-e-ravāñ baaqī
magar is aish-e-rafta kā hai ik dhundlā nishāñ baaqī
yahin ki thi mohabbat ke sabaq ki ibtida main ne
yahin ki jurat-e-izhaar-e-harf-e-muddaa main ne
yahin dekhe the ishwa-e-naz o andaz-e-haya main ne
yahin pahle suni thi dil dhaDakne ki sada main ne
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
dilon mein azhdaham-e-arzu lab band rahte the
nazar se guftugu hoti thi dam ulfat ka bharte the
na mathe par shikan hoti na jab tewar badalte the
KHuda bhi muskura deta tha jab hum pyar karte the
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
wo kya aata ki goya daur mein jam-e-sharab aata
wo kya aata rangili ragni rangin raubab aata
mujhe ranginiyon mein rangne wo rangin sahab aata
labon ki mai pilane jhumta mast shabab aata
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
haya ke bojh se jab har qadam par laghzishen hotin
faza mein muntashir rangin badan ki larzishen hotin
raubab-e-dil ke taron mein musalsal junbishen hotin
KHifa-e-raaz ki pur-lutf baham koshishen hotin
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
bahe jate the baiThe ishq ke zarrin safine mein
tamannaon ka tufan karwaTen leta tha sine mein
jo chhu leta main us ko wo naha jata pasine mein
mai-e-do-atisha ke se maze aate the jine mein
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
bala-e-fikr-e-farda hum se koson dur hoti thi
surur-e-sarmadi se zindagi mamur hoti thi
hamari KHalwat-e-masum rashk-e-tur hoti thi
malak jhula jhulate the ghazal-KHwan hur hoti thi
yahin kheton mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
na ab wo khet baqi hain na wo aab-e-rawan baqi
magar is aish-e-rafta ka hai ek dhundla nishan baqi
- Book : intekhab-e-sukhan (Pg. 123)
- Author : Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya (2005-2008)
- Edition : 2005-2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.