SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaa-e-dahn"
Sher MATCHES FOR "jaa-e-dahn"
Sher
S A Mehdi
Sher
mar chukaa mai.n to nahii.n is se mujhe kuchh haasil
barse gir paanii kii jaa aab-e-baqaa mere ba.ad
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
kuchh sher-o-shaa.erii se nahii.n mujh ko faa.eda
illaa husuul-e-kaavish-e-be-jaa-e-KHalq hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
us ke dahaan-e-ta.ng me.n jaa-e-suKHan nahii.n
ham guftuguu kare.n bhii to kyaa guftuguu kare.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
duniyaa bahut KHaraab hai jaa-e-guzar nahii.n
bistar uThaa.o rahne ke qaabil ye ghar nahii.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
hame.n to is liye jaa-e-namaaz chaahiye hai
ki ham vajuud se baahar qayaam karte hai.n
Abbas Tabish
Sher
qaamat hii likhaa ham ne sadaa jaa-e-qayaamat
qaamat ne bhulaayaa tire imlaa-e-qayaamat
Anwar Dehlvi
Sher
badan kii andhii galii to jaa-e-amaan Thahrii
mai.n apne andar kii raushnii se Daraa hu.aa huu.n
Aanis Moin
Sher
ek saahir kabhii guzraa thaa idhar se 'ambar'
jaa-e-hairat ki sabhii us ke asar me.n hai.n abhii
Ambar Bahraichi
Sher
hai ye duniyaa jaa-e-ibrat KHaak se insaan kii
ban ga.e kitne subuu kitne hii paimaane hu.e
Rangin Saadat Yaar Khan
Sher
Ganesh Bihari Tarz
Sher
so bhii jaa ai dil-e-majruuh bahut raat ga.ii
ab to rah rah ke sitaaro.n ko bhii nii.nd aatii hai
Abdul Hamid Adam
Sher
dil me.n mire jigar me.n mire aa.nkh me.n mirii
har jaa hai dost aur nahii.n miltii hai jaa-e-dost
Sharaf Mujaddidi
Sher
Razi Raziuddin
Sher
TuuTaa jo ka.aba kaun sii ye jaa-e-Gam hai shaiKH
kuchh qasr-e-dil nahii.n ki banaayaa na jaa.egaa
Qayem Chaandpuri
Sher
terii galii se chhuT ke na jaa-e-amaa.n milii
ab ke to meraa ghar bhii miraa ghar na ho sakaa
Khalilur Rahman Azmi
Sher
haath malte hu.e aaj aate hai.n sab rah-guzare
jaa-e-hairat hai ki mai.n kyuu.n sar-e-baazaar na thaa