tu mujhko jo is shahr mein laya nahin hota
tū mujh ko jo is shahr meñ laayā nahīñ hotā
maiñ be-sar-o-sāmāñ kabhī rusvā nahīñ hotā
us kī to ye aadat hai kisī kā nahīñ hotā
phir is meñ ajab kyā ki hamārā nahīñ hotā
kuchh peḌ bhī be-faiz haiñ is rāhguzar ke
kuchh dhuup bhī aisī hai ki saayā nahīñ hotā
ḳhvāboñ meñ jo ik shahr banā detā hai mujh ko
jab aañkh khulī ho to vo chehrā nahīñ hotā
kis kī hai ye tasvīr jo bantī nahīñ mujh se
maiñ kis kā taqāzā huuñ ki puurā nahīñ hotā
maiñ shahr meñ kis shaḳhs ko jiine kī duā duuñ
jiinā bhī to sab ke liye achchhā nahīñ hotā
tu mujh ko jo is shahr mein laya nahin hota
main be-sar-o-saman kabhi ruswa nahin hota
us ki to ye aadat hai kisi ka nahin hota
phir is mein ajab kya ki hamara nahin hota
kuchh peD bhi be-faiz hain is rahguzar ke
kuchh dhup bhi aisi hai ki saya nahin hota
KHwabon mein jo ek shahr bana deta hai mujh ko
jab aankh khuli ho to wo chehra nahin hota
kis ki hai ye taswir jo banti nahin mujh se
main kis ka taqaza hun ki pura nahin hota
main shahr mein kis shaKHs ko jine ki dua dun
jina bhi to sab ke liye achchha nahin hota
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 33)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.