Faragh Rohvi
Ghazal 18
Nazm 34
Sher-o-Shayari 18
ḳhuub nibhegī ham donoñ meñ mere jaisā tū bhī hai
thoḌā jhūTā maiñ bhī Thahrā thoḌā jhūTā tū bhī hai
KHub nibhegi hum donon mein mere jaisa tu bhi hai
thoDa jhuTa main bhi Thahra thoDa jhuTa tu bhi hai
-
Share this
- See Ghazal
mujh meñ hai yahī aib ki auroñ kī tarah maiñ
chehre pe kabhī dūsrā chehrā nahīñ rakhtā
mujh mein hai yahi aib ki auron ki tarah main
chehre pe kabhi dusra chehra nahin rakhta
-
Share this
- See Ghazal
kisī ne raah kā patthar hamīñ ko Thahrāyā
ye aur baat ki phir ā.īna hamīñ Thahre
kisi ne rah ka patthar hamin ko Thahraya
ye aur baat ki phir aaina hamin Thahre
-
Share this
- See Ghazal
ik din vo mere aib gināne lagā 'farāġh'
jab ḳhud hī thak gayā to mujhe sochnā paḌā
ek din wo mere aib ginane laga 'faragh'
jab KHud hi thak gaya to mujhe sochna paDa
-
Share this
- See Ghazal
hamāre tan pe koī qīmtī qabā na sahī
ġhazal ko apnī magar ḳhush-libās rakhte haiñ
hamare tan pe koi qimti qaba na sahi
ghazal ko apni magar KHush-libas rakhte hain
-
Share this
- See Ghazal