Habib Jalib
Ghazal 72
Nazm 42
Sher-o-Shayari 27
amn thā pyaar thā mohabbat thā
rañg thā nuur thā navā thā firāq
amn tha pyar tha mohabbat tha
rang tha nur tha nawa tha firaq
-
Share this
- See Ghazal
aur sab bhuul ga.e harf-e-sadāqat likhnā
rah gayā kaam hamārā hī baġhāvat likhnā
aur sab bhul gae harf-e-sadaqat likhna
rah gaya kaam hamara hi baghawat likhna
-
Share this
- See Ghazal
dil kī baat laboñ par lā kar ab tak ham dukh sahte haiñ
ham ne sunā thā is bastī meñ dil vaale bhī rahte haiñ
TRANSLATION
Having uttered my heart’s woes, till date I suffer,
I had heard that courageous people live in this town.
Sagar Akbarabadi
dil ki baat labon par la kar ab tak hum dukh sahte hain
hum ne suna tha is basti mein dil wale bhi rahte hain
TRANSLATION
Having uttered my heart’s woes, till date I suffer,
I had heard that courageous people live in this town.
Sagar Akbarabadi
-
Share this
- See Ghazal
log Darte haiñ dushmanī se tirī
ham tirī dostī se Darte haiñ
log Darte hain dushmani se teri
hum teri dosti se Darte hain
-
Share this
- See Ghazal
Qita 17
BOOKS 17
Image Shayari 10
bhulaa bhii de use jo baat ho ga.ii pyaare na.e charaaG jalaa raat ho ga.ii pyaare tirii nigaah-e-pashemaa.n ko kaise dekhuu.ngaa kabhii jo tujh se mulaaqaat ho ga.ii pyaare na terii yaad na duniyaa kaa Gam na apnaa KHayaal ajiib suurat-e-haalaat ho ga.ii pyaare udaas udaas hai.n sham.e.n bujhe bujhe saaGar ye kaisii shaam-e-KHaraabaat ho ga.ii pyaare vafaa kaa naam na legaa ko.ii zamaane me.n ham ahl-e-dil ko agar maat ho ga.ii pyaare tumhe.n to naaz bahut dosto.n pe thaa 'jaalib' alag-thalag se ho kyaa baat ho ga.ii pyaare
diip jis kaa mahallaat hii me.n jale chand logo.n kii KHushiyo.n ko le kar chale vo jo saa.e me.n har maslahat ke pale aise dastuur ko sub.h-e-be-nuur ko mai.n nahii.n maantaa mai.n nahii.n jaantaa mai.n bhii KHaa.if nahii.n taKHta-e-daar se mai.n bhii mansuur huu.n kah do aGyaar se kyuu.n Daraate ho zindaa.n kii diivaar se zulm kii baat ko jahl kii raat ko mai.n nahii.n maantaa mai.n nahii.n jaantaa phuul shaaKHo.n pe khilne lage tum kaho jaam rindo.n ko milne lage tum kaho chaak siino.n ke silne lage tum kaho is khule jhuuT ko zehn kii luuT ko mai.n nahii.n maantaa mai.n nahii.n jaantaa tum ne luuTaa hai sadiyo.n hamaaraa sukuu.n ab na ham par chalegaa tumhaaraa fusuu.n chaaraagar dardmando.n ke bante ho kyuu.n tum nahii.n chaaraagar ko.ii maane magar mai.n nahii.n maantaa mai.n nahii.n jaantaa