Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saeed Ahmad Akhtar's Photo'

Saeed Ahmad Akhtar

1932 - 2013 | Dera Ismail khan, Pakistan

Saeed Ahmad Akhtar

Ghazal 14

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 21

sulag rahā hai chaman meñ bahār mausam

kisī hasīn ko āvāz do ḳhudā ke liye

sulag raha hai chaman mein bahaar ka mausam

kisi hasin ko aawaz do KHuda ke liye

kal raat jis ko chāñd samajhte rahe the ham

kangan uchhal gayā thā kisī nāznīn

kal raat jis ko chand samajhte rahe the hum

kangan uchhal gaya tha kisi naznin ka

  • Share this

muddat se ḳhāmushī hai chalo aaj mar chaleñ

do-chār din to ghar meñ zarā anjuman rahe

muddat se KHamushi hai chalo aaj mar chalen

do-chaar din to ghar mein zara anjuman rahe

  • Share this

pūchhtā koī nahīñ paḌhtā mujhe har ek hai

jaise 'manto' koī badnām afsāna huuñ maiñ

puchhta koi nahin paDhta mujhe har ek hai

jaise 'manto' ka koi badnam afsana hun main

  • Share this

maiñ faqīr huuñ duā hai

mire paas aur kyā hai

main faqir hun dua hai

mere pas aur kya hai

  • Share this

RELATED Artists

Recitation

Speak Now